Shaan e Hazrat Usman e Gani رضي الله عنه
#537.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
Nabi e kareem Rauf o Raheem ﷺ ne Hazrate Usman Gani رضي الله عنه ke baare mein farmaya ke roz e qayamat yeh aise sattar hazar (70,000) logoñ ki shafa'at karaeñge jo dozakh ke mustahiq ho chuke hoñge, Aapse mazeed marwi hai ke qayamat ke din Usman qabeela e Rabeea aur misr ke logoñ ki tadaad ke barabar shafa'at karaeñge.
Ummul Momineen Hazrat e Aaesha Siddiqa رضي الله عنها ne farmaya ke Hazrat e Usman jabh RasoolAllah ﷺ ki khidmat mein haazir hote to aap simat kar baith jaate aur apne kapdo ko bhi samet lete.
Ek roz kisine pucha Ya RasoolAllah ﷺ aap par mere maa baap qurban aap Usman ke aane par iss qadar simat kyuñ jaate haiñ to aapne jawab diya Maiñ aise aadmi se kyu na sharm karu jisse Khuda ﷻ ke Farishte bhi sharm karte hai.
Wahi Hai Paikar e Sharm o Hayaa o Zunnoorain,
Maqaam Unki Hayaa Ka Huzoor ﷺ Jaante Haiñ..
0 comments:
Post a Comment