ALLAHU GANI HADD NAHI IN'AAM O ATAA KI
WOH FAIZ PE DARBAAR HAI USMAN E GANI رضي الله عنه KA
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
Hadees e Mubaraka #537.
Ek martaba Nabi e kareem ﷺ ne irshad farmaya jo shakhs (masjid se mutassil) ghar khareed kar Masjid e Nabawi mein shamil karey ussey Allah Ta'ala baksh dega Hazrat e Usman Gani رضي الله عنه ne woh ghar khareed kar masjid mein shareek kar diye.
Phir ek martaba Sayyed e Aalam ﷺ ne farmaya jo shakhs falañ qabeele ke murbad yaani khajoorein aur galla sookhane ki jagah khareed kar musalmaano par sadqa karde usko Allah Ta'ala baksh dega, Hazrat e Usman Gani رضي الله عنه ne uss jagah ko khareed kar musalmaano par sadqa kar diya.
Phir ek martaba Nabi e Akram ﷺ ne irshad farmaya jo shakhs jaish e asrat ka saaman muhaiyya karde Allah Ta'ala usko baksh dega Hazrat e Usman Gani رضي الله عنه ne tamaam lashkar ka muqammal saaman faraham kar diya, yahañ tak ke uss mein ek uqaal bhi kamm na thi.
#Kanzul Ummal, Kitab Ul Fazaail Hadees No. 36249.
Tuesday, February 23, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment