Friday, April 3, 2015

Kanzul Imaan Group 248 Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رضي الله عنه

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan  رضي الله عنه

Dusri martaba jab ziyarate haramain shareefain ke liye Madina Tayyaba mai hazir hue, to shauqe deedar mai muwajahe shareef ke saamne khade ho kar rote rahe.

Durood o salaam pesh karte rahe aur yeh ummed lagaae khade rahe ke aaj Huzoor zaroor nigaahe karam farmayenge aur apni ziyarat se zaroor musharraf farmayenge .

Lekin uss shab ziyarat na ho saki. Aapka dil bahut toota aur usi toote hue dil ke saath ek Kalaam aapne likha.
Jis ke pehle chand ash'aar yeh hain-

Wo sue lalazaar phirte hain , tere din aey bahaar phirte hain..

Us gali ka gada hu main jis mein ,
maangte taajdar phirte  hain..

Isi maqta me apni qalbi aarzu poora na hone ki taraf isharah karte hue badi aajzi wa inkisari ke sath dard bhare andaz me aap ne farmaya.
"Koi kyu puche teri baat RAZA ,
tujhse kutte hazaar phirte hain"

Ye naat likh kar muwajahe shareef ke samne dast basta khade hokar apni qalbi kaifiyat huzoor ke samne arz kardi.
Phir aaqa ne karam farmaya aur aisa karam farmaya ke aalame khawab mai nahi balke aalame mushahidah mai bachashme sar bedaari ki halat me usi raat apni ziyarat se musharraf kardiya.

SubhanAllah

Phir aalahazrat ne apne isi chain aur qaraar ko apne ek shair me yun bayan farmaya.

Ek tere rukh ki raushni chain hai do jahan ki,
Anas ka anas usi se hai jaan ki wo hi jaan hai..

#Sawanae Aalahazrat.
 

0 comments:

Post a Comment