Sunday, April 5, 2015

Bad Mazhabo se rishtey 323 - Wahabi Devbandi

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶ Wahabi Devbandi

Is giroh ka aqeeda yeh hai ke jaisa ilm Huzoor ﷺ ko haasil hai aisa ilm to bachhon, paagalon aur jaanwaron ko bhi hai. jaisa ke devbandiyon ke peshwa maulvi ashraf ali thaanvi ne Huzoor ﷺ ke liye Qul ilm e gaib ka inkaar karte huwe sirf baaz ilm e gaib ko saabit kiya phir baaz ilm e gaib ke baare mein yun likha ke.

“Is mein Huzoor ﷺ ki kya takhsees hai aisa ilm to zaid o umar balke har sabi o majnu balke jamee haiwaanaat o bahaayem ke liye bhi haasil hai.
# hifzul imaan, safha-8.
Ma'azAllah

Is giroh ka ek aqeeda yeh bhi hai ke Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ khaatimul Ambiya nahi hai. Aapke baad doosra Nabi ho sakta hai jaisa ke molvi qaasim naanotvi baani daarul uloom devbandi ne likha hai ke “Awaam ke khayaal mein to RasoolAllah ﷺ ka khaatim hona ba'een maana hai ke aap ka zamana e Ambiya e saabiq ke zamane ke baad aur Aap sab mein aakhri Nabi hai magar ahl e faham par roshan hoga ke taqaddum ya ta'akhur zamaane mein bizzaat kuch fazeelat nahi.
# tahzeer un naas, safha 3.

Is ibaarat ka khulaasa yeh hai ke khaatimun Nabiyyeen ka yeh matlab samajhna ke Aap sab mein aakhri Nabi hai yeh na samajh aur gawaaron ka khayaal hai. aur aage phir yun likha ke “Agar Bil farz baad e zamana e Nabvi ﷺ koi Nabi paida ho to phir bhi khaatmiyat e Mohammadi mein kuch farq na aayega.
Tehzeer un naas.

Is ibaarat ka khulaasa yeh hai ke Huzoor ﷺ ke baad doosra Nabi paida ho sakta hai.
Al ayaaz o billaahi ta'ala.

To Be Contd...

fb.me/kanzul.imaan.group



APNE DILOÑ KI SAFAAI KIJIYE
HAR ZANG KO DIL SE MITA DIJIYE
YEH BAAT NABI ﷺ KI SAMAJH LIJIYE
AUR LOGOÑ KO BHI BATA DIJIYE

 

0 comments:

Post a Comment