بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶ Sab se Kamzor Imaan waala.
Acchi baat ka hukm dena aur buri baat se rokna Musalmaanon par waajib hai jaisa ke Hazrat Shaikh Abdul Haq Mohaddis-e-dehlvi Bukhari رضي الله عنه
tehreer farmaate hain:
Acchaayi ka hukm dena aur Buraayi se rokna waajib hai, Is par Ummat ka ijmaa’ hai.
( Ash'atul lamaat, jild 4, safha 173)
Lihaaza agar koi haath aur zabaan se Buraayi na rok sake aur sirf dil se bura jaane to woh sab se kamzor Imaan waala hai, jaisa ke Muslim shareef mein Hazrat Abu Saeed Khudri رضي الله عنه
se Hadees Shareef marwi hai ke Sarkare Aqdas ﷺ ne irshad farmaaya:
Jo shakhs koi baat khilaaf e shar'a dekhe to use apne haath se rok de, Aur agar apne haath se rokne ki qudrat na ho to zabaan se manaa kare, Aur agar zabaan se bhi manaa karne ki qudrat na ho to dil se bura jaane aur yeh sab se kamzor Imaan hai.
(Mishkaat Shareef, safha 436)
To be contd...

0 comments:
Post a Comment