Sunday, April 5, 2015

Bad Mazhabo se rishtey 335 - Tarah tarah ke fareb

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶Tarah tarah ke fareb.

Aaj kal Ahl e Sunnat o jamaat ke yahaan jalse aur conferences bohat hoti hai jin mein aksar taqreerein sirf dramaayi aur rasmi hoti hai, Imaan ke daaku jis raaste se sunniyon ke gharon mein ghus kar in ke Imaan par daaka-zani kar rahe hai aur sunniyat ko bohat zabardast nuqsaan pahucha rahe hai is raaste ko band nahin karte yaani bad mazhabon ke saath uthne baithne se nahi rokte aur na inke yahaan Shaadi biyaah karne se manaa karte hai balke kuch maulvi aur peer khud hi inke yahaan rishta kar lete hai jise sunni awaam sanad banaakar bad mazhabon ke yahaan Shaadi biyaah karte hai aur thode dinon mein ghar ke ghar Gumraah wa bad mazhab ho jaate hai.

In haalaat mein agar kahin koyi Aalim e deen is Buraayi ke khilaaf kuch bolta ya likhta hai to naseehat qabool karne ke bajaaye us se dushmani karte hai aur tarah tarah ke fareb se uski haq baaton ka asar zayel kar dete hain logon ko behkaate hai na khud amal karte hai aur na doosron ko amal karne dete hai.

Kahin koi uski haq goyi ko aib jui qaraar deta hai aur ulta usi ko gunaahgaar thehrata hai jab ke posheeda aibon ko talaash karna aib jui hai aur jo Buraayi ailaaniya ki jaati ho us ke khilaaf bolna haq goyi hai, aib joi nahi.

To be contd...

fb.me/kanzul.imaan.group
 


0 comments:

Post a Comment