Sunday, April 5, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan 335 - Surah Baqrah Shareef Ayat No. 11

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 11
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

7⃣ وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ لَا تُفْسِدُوا فِي الْأَرْضِ قَالُوا إِنَّمَا نَحْنُ مُصْلِحُونَ

▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban rahmat wala
7⃣. Aur jo unse kaha jaye zameen me fasaad na karo to kahte hai hum to sawaarne wale hai

▶ Tafseer-
7⃣. Masla- Kuffar se meil jol unki khaatir deen se muddahanat aur ahle baatil ke saath ta’alluq wa chaaploosi aur unki khushi k liye sulah kul ban jana aur uzhare haq se baaz rehna shaane munafiq aur haraam hai isi ko munafiqeen ka fasad farmaya gaya. Aaj kal bahot logo ne ye shewa kar liya hai ki jis jalsa mein gaye waise hi ho gaye. Islam mein iski Muman’at hai zaahir wa baatin yaksa na hona bada aib hai .

fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:

Post a Comment