بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Behqi shareef mein Hazrat Jaabir رضي الله عنه se riwaayat hai ke Sarkare Aqdas ﷺ
ne farmaaya:
Khudae Taala ne Jibraeel alaihis salaam ko hukm farmaya ke falaan shaher ko jo aisa aur aisa hai us ke baashindon samet ulat do, Jibraeel alaihis salaam ne arz kiya aye mere Parwardigaar! Unn bashindon mein Tera fulaan banda bhi hai jis ne ek lamha bhi Teri naafarmani nahin ki hai to Khudae Ta'ala ne farmaaya Main phir hukm deta hoon ke is par aur qul baashindon par shahar ko ulat do is liye ke is ka chehra gunaahon ko dekh kar Meri khushnudi ke liye ek lamha bhi mutagayyar nahin hua.
Hazrat Sheikh Abdul Haq Muhaddis dehelvi bukhari رضي الله عنه is Hadees Shareef ki shar'a mein tehreer farmaate hain
"aye gunaah e azeem sat wa lihaaza taqdeem kard alaihi raabar alaihim" yaani gunaahon ko dekh kar Khuda e Ta'ala ki khushnudi ke liye chehra ka rang na badalna bohat bada gunaah hai isi liye Allah ﷻ ne alaihi ko alaihim par muqaddam kiya. yaani us nek bande par azaab dene ka hukm pehle farmaaya aur gunaah karne waalon par azaab dene ka hukm baad mein #ash’atul lamaat, jild 4, safha 183.
Aur kisi ke chup rehne par jabke log yeh kehne lage ke fulaan to itne bade aalim aur buzurg hain magar woh kisi ko nahin manaa karte ek aap hi hain rokne aur manaa karne waale kya woh aalim nahin hain, agar yeh baat galat hoti to woh bhi zaroor manaa karte is soorat mein khaamosh rehne waale aur Buraayi ko dekh kar na rokne waale peer aur maulvi aur zyada azaab ke mustahiq honge.
To be contd...
fb.me/kanzul.imaan.group
APNI NEKIYO KO
HASAD SE NAA MITAAO
ACHHE AA'MAL KO
BURAI SE BACHAO

0 comments:
Post a Comment