Sunday, April 5, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan 334 - Surah Baqrah Shareef Ayat No. 9-10

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 9-10

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

5⃣ يُخَادِعُونَ اللَّهَ وَالَّذِينَ آمَنُوا وَمَا يَخْدَعُونَ                                        إِلَّا أَنفُسَهُمْ وَمَا يَشْعُرُونَ      
6⃣ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٌ فَزَادَهُمُ اللَّهُ مَرَضًا ۖ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ بِمَا كَانُوا يَكْذِبُونَ      

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban rahmat wala.
5⃣ Fareb diya chahte hai Allah aur Imaan walo ko aur haqeeqat mein fareb nahi dete magar apni jaano ko aur unhe shaoor nahi.
6⃣ Unke diloñ mein beemari hai to Allah ne unki beemari aur badhai aur unke liye dardnaak azaab hai, Badla unke jhoot ka.

▶Tafseer-
5⃣. Allah Ta’ala is se pak hai ki usko koi dhokha de sake wo asraar wa makhfiyaat ka janne wala hai muraad ye hai ki munafiq apne gumaan mein Khuda ko fareb dena chahte hai ya ye ki Khuda ko fareb dena yahi hai ki RasoolAllah ﷺ  ko dhoka dena chahe kyuki wo uske khalifa hai aur Allah Ta’ala ne apne Habeeb  ﷺ ko asraar ka ilm ata farmaya hai, woh un munafiqeen ke chupe kufr par mutala’a hai aur musalman unke ittala’a dene se baa-khabar to un be-deeno ka fareb na Khuda par chale na Rasool par Na Momineen par balqi haqeeqat mein wo apni jaano ko fareb de rahe hai.
▶Masla- Is aayat se maloom huwa ki taqiyya bada aib hai jis Mazhab ki bina taqiyya par ho wo baatil hai taqiyya wale ka haal kabile aitemaad nahi hota. Tauba Naakabile itminaan hoti hai.
6⃣ Bad Aqeedgi ko Qalbi marz farmaya gaya isse maloom huwa ki bad aqeedgi Roohani zindagi k liye Tabahkun hai.
Masla- Is aayat se saabit huwa ki jhoot haraam hai is par azaab Aleem murattab hota hai.
 

0 comments:

Post a Comment