بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Bad Mazhabo se rishtey
Aur kuch log kehte hain ke woh Aalim bade haq go hain to
aakar aurton ko mazaar se hataayein, Aye
kaash! aise log haq goyi ka maana jaante aur agar jaante hain to jaahil na
bante ke haq goyi ka maana hai haq baat keh dena is ke maana mazaar se aurat
hataana nahin hai.
Aur baaz log yeh kehte huwe nazar aate hain ke jab us
mein khud fulaan fulaan Buraayi paayi jaati hai to woh doosron ko Buraayi se
rokne ka haq nahin rakhta aise logon ko
maaloom hona chaahiye ke us par do cheezein waajib hain, khud buraaiyon se
bachna aur doosron ko bachne ki taakeed karna. To ek waajib ke chhootne se
doosre waajib ka chhootna jaayez nahin. Mohaqqiq alal itlaaq Hazrat Sheikh
Abdul Haq Mohaddis Dehelvi Bukhari رضي الله عنه
tehreer farmaate hain:
Amar bil ma'roof ke waajib hone mein khud aamir ka bhi
aamil hona shart nahi balke bagair amal bhi amar bil ma'roof jaayez hai, is
liye ke apne aap ko amar bil ma'roof karna waajib hai aur doosre ko amar bil
ma'roof karna doosra waajib hai Agar ek waajib chhoot jaaye to doosre waajib ka
chhodna hargiz jaayez na hoga.
Aur woh jo Qur’an Majeed para 29 mein aaya hai Agar use
amar bil ma'roof aur nahi anil munkar ke baare mein tasleem bhi kar liya jaaye
to amal na karne par zajr o taubeekh murad hai na kehne par.
Aur phir tehreer farmaate hain:
Doosron ko amar o nahi karna aur khud is par amal na
karna mojib e azaab hai. lekin yeh azaab amal na karne ki wajah se hai amar o
nahi ki wajah se nahin hai is liye ke agar amar o nahi bhi nahi karega to do
waajib tark karne ke sabab aur zyada azaab ka mustahaq hoga #Ash’atul lama’at,
jild 4, safha 175.
To be contd...
0 comments:
Post a Comment