Monday, April 6, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan 337

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul   Irfaan
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 14
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

1⃣1⃣ وَإِذَا لَقُوا الَّذِينَ آمَنُوا قَالُوا آمَنَّا وَإِذَا خَلَوْا إِلَىٰ شَيَاطِينِهِمْ
2⃣1⃣ قَالُوا إِنَّا مَعَكُمْ إِنَّمَا نَحْنُ مُسْتَهْزِئُونَ

▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala
1⃣1⃣. Aur jab imaan waalo se mile to kahe hum imaan laye aur jab apne shaitano k paas akele ho
1⃣2⃣. to kahe hum tumhare saath hai, hum to yun hi hansi karte hai

▶Tafseer-
1⃣1⃣. Yaha shayateen se kuffar ke wo sardaar muraad hai jo igwa mein masroof rahte hai. #khaazin wa bejaawi. Ye Munafiq jab unse milte hai to kahte hai hum tumhare saath hai aur musalmano se milna mahaz barahe fareb wa istehaza isliye hai ki unke raaz maloom ho aur unme Fasaad angezi k mawaqqe’a mile. #khaazin
1⃣2⃣. Yaani izhaare imaan tamskhur ke taur par kiya ye Islam ka inkaar huwa,
▶Masla- Ambiya Alaihimussalam aur deen ke saath istehaza wa tamaskhur khufr hai. Shaane nuzool ye aayat Abdullah Bin Ubay wagairah Munafiqeen ke haq mein Nazil huwi.
Ek roz unhone sahaba-e-kiraam ki ek jamaat ko aate dekha to ibne Ubay ne apne yaaro se kaha dekho to main unhe kaisa banata hu. Jab wo hazraat kareeb pahuche to Ibne Ubay ne pahle Hazrat Siddique Akbar  رضي الله عنه
ka daste Mubarak apne haath me lekar aap ki taarif ki fir usi tarah Hazrate Umar رضي الله عنه aur Hazrat Ali رضي الله عنه ki taarif ki. Hazrat Ali Murtaza رضي الله عنه ne Farmaya aye ibne Ubay Khuda se dar Nifaaq se baaz aa kyuki Munafiqeen bad-tareen khalq hai. Is par wo kahne laga ki ye baate nifaaq se nahi ki gayi. ba-khuda hum aapki tarah momine saadiq hai jab ye hazrat tashreef le gaye to aap apne yaaro se apni chalbaazi par fakhr karne laga. Is par ye aayat naazil huwi ki munafiqeen momineen se milte waqt izhaare Imaan wa ikhlaas karte hai aur unse alhida ho kar apni khaas majliso mein unki hasi udate aur istehaza karte hai.

▶Masla- Isse maloom huwa ki sahaba kiraam wa peshwayane deen ka tamaskhur udana kufr hai.

0 comments:

Post a Comment