Monday, April 6, 2015

Bahar e Shari'at 337

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

Bahar e Shari'at

▶ Farishto ke zimme alag alag kaam hai kuch wo hai jinke zimme Nabiyo ke paas Wahee e Ilahi laane ka kaam liya gaya,
koi paani barsata hai, koi hawa chalata hai, koi rozi pahuchata hai, koi maa ke peit mein bacche ki soorate banata hai,
koi insan ke badan mein kamee beshi(kam jyada) karta hai,
kuch wo farishte hai jo insan ki dushmano se hifazat karte hai,
kuch wo hai jo Allah aur Rasool Allah ka zikr karne walo ke majme talash karke uss majme mein hazir hote hai.

Kisi ke muta'allik insan ke aamal nama likhne ka kaam hai, kuch wo hai jo Sarkar e Risalat ke darbar mein hazri dene ka kaam karte hai, kuch wo hai jo Huzoor ki bargah mein musalmano ke salato salam pahuchate hai, kisi ke zimme murdo se sawal karne ka kaam hai,
koi rooh qabz karta hai,
kuch azab dene ka kaam karte hai,
kisi ke zimme soor fukne ka kaam hai, inke alawa aur bhi bahot kaam hai jo farishte anjam dete hai iske bawajood farishte naa to Qadeem(Jo hamesha se ho aur hamesha rahe Yaani kabhi fana na ho) hai
naa Khaaliq(Haqeeqat mein paida karne waale) balki sab makhlook hai farishto ko qadeem ya khaaliq manna kufr hai farishte naa mard hai na aurat.


Farishte anginat hai unki ginti wahi jaane jisne unhe paida kiya hai aur Allah ke bataye se usske pyare Mehboob jante hai.

0 comments:

Post a Comment