Monday, April 6, 2015

Bad Mazhabo se rishtey 338

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

Bad Mazhabo se rishtey

Phir koi maaqool aadmi ye baat hargiz nahi kahega ke main haq baat is liye nahi qabool karunga ke is ka pesh karne waala khud is par nahin chal raha hai is ki misaal bilkul aisi hai jaise koi logon se hifzaan e sehat ke usool bayaan kare aur sunne waale dekhein ke yeh shakhs khud hifzaan e sehat ke usoolon par amal na karne ke sabab apni sehat barbaad kar raha hai to woh log ye nahi keh sakte ke tum khud chunke in usoolon par amal na karne ke sabab apni sehat kharaab kar rahe ho is liye hum hifzaan e sehat ke yeh usool qabool na karenge. Albatta jise aql se koi hissa na mila ho woh aisi baat kar sakta hai.

Hazrat Sheikh Saadi رضي الله عنه tehreer farmaate hain:

" Guft e Aalim bagosh e jaan bu shunu, war namaand baguftanash kirdaar
Baatil ast aan ke muddayi goyad, Khuftaraa khufta ke kunad bedaar Masrad e baayad ki geerad andar gosh, war na bashtast pand bar deewaar"

Dua hai ke Allah
saare Musalmaanon ko apne Mehboob Pyare Mustafa
aur Sahaaba e kiraam wa buzurgaan e deen ki sachchi mohabbat ataa farmaye aur unke dushmano se door rehne ki taufeeq e rafeeq bakhshe .

آمین بجاه شفیع المذنبین

----

Jalaaluddin Ahmad Amjadi.
12 Rabiul Aakhir 1410 Hijri

12 November 1989.

0 comments:

Post a Comment