Monday, April 6, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan 339 - Surah Baqrah Shareef Ayat No. 17

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 17
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

6⃣1⃣ مَثَلُهُمْ كَمَثَلِ الَّذِي اسْتَوْقَدَ نَارًا فَلَمَّا أَضَاءَتْ مَا حَوْلَهُ ذَهَبَ اللَّهُ بِنُورِهِمْ وَتَرَكَهُمْ فِي ظُلُمَاتٍ لَّا يُبْصِرُونَ

▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban rahmat wala
1⃣6⃣  Unki kahawat us ki tarah hai jisne aag roshan ki to jab usse aas paas sab jagmaga utha Allah unka Noor le gaya aur unhe Andheriyo me chhod diya ki kuch nahi sujhta

▶Tafseer -
1⃣6⃣. Ye unki misaal  hai jinhe Allah Ta’ala ne kuch hidayat di ya us par qudrat bakhshi fir unhone usko zaaya kar diya aur abdee daulat ko haasil na kiya, unka maal hasrat wa afsos aur hairat wa khauf hai, isme wo munafiq bhi daakhil hai, jinhone izhare imaan kiya aur dil mein Kufr rakh kar iqraar ki roshni ko zaya kar diya aur wo bhi jo momin hone ke baad murtad ho gaye aur wo bhi jinhe fitrate saleema ata huwi aur dalail ki raushni ne haq ko waazeh kiya magar unhone usse fayeda na uthaya aur gumrahi ikhtiyar ki aur jab haq sunne manne kahne raahe haq dekhne se mahroom huwe to kaan zabaan aankh sab bekaar hai.

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group


JO BHI ISS FARMAAN
PAR GAUR KAREGA
WOH CHAIN O SUKOON
SE HAMESHA RAHEGA
 


0 comments:

Post a Comment