بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 15-16
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
3⃣1⃣ اللَّهُ يَسْتَهْزِئُ بِهِمْ
4⃣1⃣ وَيَمُدُّهُمْ فِي
طُغْيَانِهِمْ يَعْمَهُونَ
5⃣1⃣أُولَـٰئِكَ الَّذِينَ
اشْتَرَوُا الضَّلَالَةَ بِالْهُدَىٰ فَمَا رَبِحَت تِّجَارَتُهُمْ وَمَا كَانُوا
مُهْتَدِينَ
▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat
wala
1⃣3⃣ Allah unse istihja farmata hai
1⃣4⃣ ( Jaisa uski shaan ke layak hai ) aur unhe dheel
deta hai ki apni sarkashi mein batakte rahe.
1⃣5⃣ Ye wo log hai jinhone Hidayat ke badle gumrahi
kharidi to unka sauda kuch nafa na laaya aur wo saude ki raah jante hi na the.
▶ Tafseer -
1⃣3⃣. Allah Ta’ala istehja aur tamaam nakais wa uyoob se
munazza wa paak hai yahan jazaye istehja ko istehaja farmaya gaya taaki khoob
dilnashi ho jaye ki ye saza us nakardani fail ki hai aise mouqa par Jaza ko isi
fail se ta’abir karna aaine fasaahat hai jaise Kamale Husne bayan ye hai ki is
jumla ko jumla-e-saabiqa par m’atoof na farmaya kyuki waha istehja haqeeqi
maana mein tha.
1⃣4⃣ Hidayat ke badle gumrahi kharidna yaani bajay Imaan
ke kufr ikhtiyaar karna nihayat khasara aur tote ki baat hai. Shaane Nuzool ye
Aayat un logo ke haq mein naazil huwi jo Imaan lane ke baad kaafir ho gaye ya
yahood ke haq mein jo pahle se to Huzoor ﷺ par Imaan rakhte the magar jab Huzoor ﷺ ki tashreef aawari huwi to munkir ho gaye
ya tamaam kuffar ke haq mein ki Allah Ta’ala ne fitrate saleema ata farmai haq
ke dalail wajeh kiye Hidayat ki raahe kholi, lekin jinhone aql wa insaaf se
kaam na liya aur gumrahi ikhtiyar ki.
▶Masla- is aayat se baiye ta-aati ka jawaz saabit huwa
yaani kharid wa farokht ke alfaaz kahe bagair mahaz Razamandi se ek cheez ke
badle Doosri cheez lena jaayaz hai.
1⃣5⃣ Kyuki agar
tijarat ka tareeqa jaante to asal punji (hidayat) na kho baithte.
0 comments:
Post a Comment