بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Bad Mazhabo se rishtey
Aur kuch log kehte hain ke yeh geebat hai, haalaan ke jo
Buraayi koi khullam khulla karta hai us ka logon mein zikr karna geebat nahin
faqih e Aazam e hind Hazrat Sadarush Shari'a alaihi rehmatu wa rizwaan tehreer
farmaate hain
“Jo shakhs ailaaniya bura kaam karta ho aur us ko is baat
ki koi parwaah nahin ke log use kya kahenge to us shakhs ki is buri harkat ka
bayaan karna geebat nahin magar us ki doosri baatein jo zaahir nahin hain un ko
zikr karna geebat hai.
Hadees Shareef mein hai ke jis ne hayaa ka hijaab apne
chehre se hata diya uski geebat nahin." #bahar e shari'at, hissa 16,
bayaan e geebat ba-hawala e Raddul Mukhtaar”
Aur baaz log kehte hain ke woh urs mein aurton ko aane se
kyun nahi rok paate yaani jab woh Aalim e deen urs mein aurton ko aane se rokne
par kaamyaab ho jaayega tab woh bad mazhabon aur murtadon se rishta nahin
karenge warna unke yahaan woh baraabar Shaadi biyaah karte rahenge.
To be contd...
0 comments:
Post a Comment