Sunday, April 5, 2015

Bad Mazhabo se rishtey 332 - Buraayi Na rokne par azaab

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶ Buraayi Na rokne par azaab.

Bohat se Musalmaan is galat fehmi mein mubtela hain ke agar log bura kaam kar rahe hain to woh us ka jawaab denge, hum se kya garz? Aur yeh soch kar woh khamosh rehte hain ke kuch nahin bolte, balke baaz log to Buraayi rokne waale ki mukhaalifat karte hain aur kehte hain aap se kya matlab? haalaan ke is Buraayi se rokna sab logon par laazim hai. agar qudrat ke baawajood nahi rokenge to sab par azaab naazil hoga. jaisa ke Ibn e Adi Kindi رضي الله عنه se Hadees Shareef riwaayat hai ke Huzoor Sayyed e Aalam ﷺne farmaaya:

Allah ﷻ sab logon ko baaz logon ke amal ke sabab azaab nahi deta magar jab ke woh apne darmiyaan bure kaam hote dekhein aur use rokne ki taaqat rakhte huwe na rokein. Agar unhon ne aisa kiya to Khudae  Ta'la aam aur khaas sab ko azaab dega #Mishkaat shareef, safha 438.

Yaani agar kuch log koi gunaah karein to is ke sabab Khuda e Ta'ala doosron par azaab nahi farmata lekin Buraayi dekh kar chup rehna aur ise na mitaana aisa gunaah hai ke is ke sabab Buraayi karne waale aur chup rehne waale donon par azaab naazil farmata hai, Buraayi karne waale par Buraayi ke sabab aur chup rehne waalon par chup rehne ke sabab.

Aur Tirmizi shareef mein Hazrat Huzaifa رضي الله عنه
se Hadees Shareef marwi hai ke Sarkar ﷺ ne farmaaya:

Qasam hai us zaat ki jis ke qabza e qudrat mein meri jaan hai, tum zaroor achhi baaton ka hukm karna aur bure kaamon se manaa karte rehna. warna anqareeb Allah ﷻ tum par apne paas se azaab bhej dega, phir tum us se dua karoge to tumhari dua qabool nahi ki jaayegi. #mishkaat shareef, safha 436.

To be contd...

fb.me/kanzul.imaan.group
 


APNE DILO MEIN ACCHAI BHARLO
HUZOOR ﷺ KI SUNNAT ADAA KARLO
JIS DIL MEIN HO BURAI KOI BHI
NA HOTI HAI JAGAH WAHA ACCHAI KI
 

0 comments:

Post a Comment