Sunday, April 5, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan - 332 - Surah Baqrah Shareef Aayat no. 5-7

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

1⃣ أُولَـٰئِكَ عَلَىٰ هُدًى مِّن رَّبِّهِمْ ۖ وَأُولَـٰئِكَ هُمُ الْمُفْلِحُونَ
2⃣ إِنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا سَوَاءٌ عَلَيْهِمْ أَأَنذَرْتَهُمْ أَمْ لَمْ تُنذِرْهُمْ لَا يُؤْمِنُونَ
3⃣ خَتَمَ اللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمْ وَعَلَىٰ سَمْعِهِمْ ۖ وَعَلَىٰ أَبْصَارِهِمْ غِشَاوَةٌ ۖوَلَهُمْ عَذَابٌ عَظِيمٌ


▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban rahmat wala
1⃣ Wahi log apne Rab ki taraf se hidayat par hai aur wahi muraad ko pahuchne wale. Beshak wo jin ki kismat mein kufr hai .
2⃣ Unhe barabar hai, chahe tum unhe darao ya na darao wah imaan laane ke nahi.
3⃣ Allah ne unke diloñ aur kaano par muhar kar di aur  unki aanko par ghata top hai.  Aur unke liye bada azaab .

▶Tafseer
1⃣ Auliya ke baad aa’da zikr farmana hiqmate hidayat hai ki us muqabla se har ek koi apne kirdaar ki haqeeqat aur uske nataij par nazar ho jaye, Shaane Nuzool ye aayat Abu Lahab wagairah kuffar ke haq mein naazil huwi jo Ilme Ilahi mein Imaan se mehroom hai isiliye unke haq me Allah ta’ala ki mukhalafat se darana na darana dono barabar hai unhe nafa na hoga magar Huzoor ﷺ ki saee bekaar nahi kyun ki mansabe risalate Aamma ka farz rahnumai wa iqamate hujjat wa tableeg ala wajhlil kamaal hai.
▶Masla- Agar qaum pand pezeer na ho tab bhi haadi ko hidayat ka sawab milega. Is aayat me Huzoor ﷺ  ki taskeene khaatir hai ki kuffar ke imaan na laane se Aap magmoom na ho Aapki saeeye tableeg kaamil hai iska ajr milega mehroom to ye bad-naseeb hai Jinhone Aapki itaa’at na ki, kufr ke mana Allah Ta’ala ke wajood ya uski wahdaaniyat ya kisi Nabi ki Nabuwwat ya zarooriyate deen se kisi amr ka inkaar ya koi aisa fail jo indash-shar’aa inkaar ki daleel ho kufr hai .
2⃣ Khulasa matlab ye hai ki kuffar zalalat wa gumrahi mein aise doobe huwe hai ki haq ke dekhne sunne samajhne se is tarah mahroom ho jaise kisi ke dil aur kaano par muhar lagi ho aur aankhon par parda pada ho.
▶Masla – Is aayat se maloom huwa ki bande ke Af’aal bhi tahate qudrate Ilahi hai.
3⃣Isse maloom huwa ki hidayat ki raahe unke liye awwal hi se band na thi ki jaaye uzr hoti balqi unke kufr wa ainaad aur sarkashi wa bedeeni aur mukhalafate Haq wa adawate Ambiya Alaihimussalam ka ye Anjaam hai jaise koi shakhs tabeeb ki mukhalafat kare aur zahre kaatil khale aur uske liye dawa se intefa-a ki  surat na rahe to khud wahi mustahiqe malaamat hai.
 

0 comments:

Post a Comment