Sunday, April 5, 2015

Islami Akhlaak o Ada'ab, Bahar e Shari'at 332 - An Ideal Life Of A Muslim

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


▶ Gale Mai taweez latkana jaaez hai jab ki wo taweez aayat e Qurani ya Asmaye ilahiya ya dua o bana ho
Kuch hadeeso mai mana kiya gaya hai taweez ko zamana e jahiliyat ke waqt najaeez alfazo se bante thhe uss dour mai uss tarah ke taweez ki manayi thhi.

▶ Issi tarah taweez aur aayat wa ahadees wa dua o ko rakabi mai likh kar mareez ko shifa ki niyyat se pilana bhi jaeez hai.

▶ Junub wa haiza wa nufsaa bhi taweez ko gale mai pehan sakte hai aur bajoo par bhi bandh sakte hai  ba sharte ke wo gilaf mai lapeta ho.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

0 comments:

Post a Comment