بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Hazrat Sheikh Abdul Haq Mohaddis e Dehalvi Bukhari رضي الله عنه is Hadees Shareef ki shar'a mein tehreer farmaate hain:
Yaani doosre azaab aur museebatein dua se door ho sakti hain laikin acchhi baat ka hukm dena aur buri baat se rokna chhod dene ke sabab jo azaab naazil hoga woh dua is ke baare mein qabool na hogi.
Aur Tirmizi wa ibn e Maaja ki Hadees hai Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ne farmaaya ke Main ne Rasoole Akram ﷺ ko farmaate huwe suna ke;
Log jab koi bura kaam dekhein aur usko na mitaayen to anqareeb Khudae Ta'ala un sab ko Apne azaab mein mubtela karega #Mishkaat shareef, safha 436.
Aur Abu Dawood wa ibn e Maaja ki Hadees hai Hazrat Jurer bin Abdullah رضي الله عنه farmaate hain ke main ne Rasoole Kareem ﷺ ko farmaate huwe suna ke:
Kisi qaum ka koi aadmi unke darmiyaan gunaah karta ho aur woh use rokne ki taaqat rakhte hon magar na rokein to Khudae Ta'ala un sab par azaab bhejega is se pehle ke woh marein #Mishkaat shareef, safha 437.
Hazrat Sheikh Abdul Haq Mohaddis e Dehalvi Bukhari رضي الله عنه is Hadees Shareef ke tahet likhte hain:
Is Hadees Shareef se maaloom hua ke achhi baat ke hukm dene aur Buraayi se rokne ko chhod dene ke sabab duniya mein bhi azaab hoga aur aakhirat mein bhi, Bakhilaaf doosre gunaahon ke ke duniya mein un par azaab laazim nahi #Ash’atul lamaat, jild 4, safha 177.
To be contd...
fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:
Post a Comment