Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #529.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 215.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tum se puchte hai.
2⃣ kya kharch kare tum farmao jo kuch maal neki mein kharch karo to woh maa baap ke kareeb ke rishtedaaro aur yateemo aur mohataajo aur raahgir ke liye hai aur jo bhalayi karo.
3⃣ Beshak Allah use jaanta hai.
▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yeh Aayat Amr Bin Jamooh ke jawab mein naazil huwi jo budhe shakhs the aur bade maaldaar the unhone Huzoor Sayyade Aalam ﷺ se sawal kiya tha ki kya kharch kare aur kis par kharch kare is aayat mein unhe bata diya gaya ki jis qism ka aur jis qadr maale qaleel ya maale qaseer kharch karo usme sawab hai aur masarif uske yeh hai.
▶ Masla – Aayat mein Sadqa e Nafeela ka bayaan hai maa baap ko zakaat aur sadqaate waajibaat dena jayaz nahi. (#Jumal waghairah)
2⃣ Ye har neki ko Aam hai Infaaq ho ya kuch aur baaki masarif bhi usme aa gaye.
3⃣ Uski jazaa ataa farmayega.
Monday, February 22, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment