Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #540.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 220
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Duniya aur aakhirat ke kaam soch kar karo.
2⃣ Aur tum se yateemo ka masla puchte hai tum farmao unka bhala karna behtar hai aur agar apna kharch mila lo to woh tumhare bhai hai aur Khuda khoob jaanta hai bigaadne wale ko sawaarne wale se aur Allah chahta to tumhe mashakkat mein daalta beshak Allah zabardast hikmat wala hai.
▶ Tafseer
1⃣ Ki jitna tumhari duniyawi zarurat ke liye kaafi ho woh lekar baaki sab Apne nafa e Aakhirat ke liye khairat kar do ( #Khaazin )
2⃣ Ki unke amwaal ko apne maal se milane ka kya hum hai, Shaane Nuzool " Surah Nisaa ki Aayat No. 10 ( Innallazi na ya....)" ke nuzool ke baad logoñ ne yateemo ke maal jooda kar diye aur unka khana peena alaahida kar diya isme ye surate bhi pesh aayi ki jo khana yateem ke liye pakaya aur usme se kuch bach raha woh kharab ho gaya aur kisi ke kaam na aaya isme yateemo ka nuksaan huwa yeh surate dekh kar Hazrate Abdullah Bin Rawaha رضي الله عنه ne Huzoor Sayyade Aalam ﷺ se arz kiya ki agar yateem ke maal ki hifazat ki nazar se uska khana uske awliya apne khaane ke saath mila le to uska kya hukm hai is par yeh aayat naazil huwi aur yateemo ke fayede ke liye milane ki ijazat di gayi.
Wednesday, February 24, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment