Wednesday, February 24, 2016

22 Zulhajjah Waladat e Huzoor Mufti e Aazam #540 ‎رضي الله عنه

SHARE
22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه # 540.

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

Gaus ul Waqt Huzoor Mufti e Aazam Hind رضي الله عنه ne apni ibtidayi taleem apne khandaan se haasil ki, Aapke waalid Ash Shah Imaam Ahmad Raza Khan Al Qadiri Mujaddid E Islaam ke pass. Aapne kuch taleem apne bade bhai se bhi haasil ki hai Mawlana Hamid Raza Khan. Aur Aapke ustaad Mawlana Shaah Maglori, Mawlana Sayyid Basheer Ahmad, Mawlana Zahurul Hussaim Rampuri.

Aap Ilm E Deen mein Apne waalid se jo maharat haasil ki woh kuch yeh hai Tafseer, Hadith, Usool E fiqah, Fiqah, Sarf, Nahw, Tajweed, Falsafa , Mantiq, Aqaid, Tasawwuf wagerah wagerah.

⏩ Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه ka pehla Fatwa.

Mawlana Zafaruddin bihari aur Mawlana Abdul Rasheed Darul Iftaa mein Kaam kar rahe the Aap darul iftaa mein pahuche, Mawlana zafarruddin bihari almaari se Fatawa Razviya Shareef utha rahe the, Aapne irshaad farmaya yeh dekh kar jawaab likhte ho ??

Mawlana ne famaya tum bagair dekhe likh do to jaanu, Aapne fauran woh jawaab likh diya. Woh Raza'at ka masla tha. Yeh Aapka pehla jawaab tha islaah ke liye Aala Hazrat رضي الله عنه ki baargaah mein pesh kiya gaya. Sehet E jawaab par Imaam E ahle Sunnat(Aala Hazrat) bohot Khush huwe aur "Sahil jawaab bi aunil malikil wahaab" Likh kar Tasdeeqi dastakhat sabt farma diya Aur Abul Barkaat Muhiyoddin Jilaani Aal E Rehmaan urf Mustafa Raza ki Muhar Mawlana Hafiz yaqeenoddeen se banwa kar Ataa farmayi..

To be continued...



Sent from my iPhone

0 comments:

Post a Comment