Wednesday, February 24, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #541

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #541.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 221.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur shirk wali auratoñ se nikaah na karo jabh tak musalman na ho jaaye.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool Hazrate Mursad ganawi ek bahadur shakhs the Sayyade Aalam ﷺ ne unhein Makkah Mukarrama rawana farmaya taaki waha se tadbeer ke saath musalmano ko nikaal laaye waha Anaaq naami ek mushriqa aurat thi jo zamana e jahiliyat mein unke saath mohabbat rakhti thi haseen aur maaldaar thi jabh usko unki aamad ki khabar huwi to woh aapke paas aayi aur taalibe wisaal huwi Aapne Bakhaufe Ilaahi us par airaaj kiya aur farmaya ki Islam iski ijazat nahi deta tabh usne nikah ki darkhwast ki Aap ne farmaya ki yeh bhi Rasoole Khuda ﷺ ki ijazat par mauquf hai apne kaam se faarig ho kar jabh Aap Khidmate Aqdas mein haazir huwe to haal arz karke Nikah ki babat dariyaft kiya is par yeh aayat naazil huwi (#Tafseer Ahemadi) Baaz Aulma ne farmaya jo koi Nabi ﷺ ke saath kufr kare wo mushrik hai khwaah Allah ko waahid hi kehta ho aur tauheed ka muddayi ho. ( #Khaazin )

〰〰 to be contd.

0 comments:

Post a Comment