Wednesday, February 24, 2016

22 Zulhajjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam 541 # ‎رضي الله عنه

SHARE
22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه # 541.

سم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Karamat e Huzoor Mufti E Aazam رضي الله عنه

Ek martaba Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه mail train se nagpur se Akola tashreef le jaa rahe the raaste mein ek jagah chand lamhe ke liye train ruki. Aap musalla aur lota le kar train se namaz parhne utar gaye, Kayi Aadmi ne kaha Huzoor Yeh Mail train hai aapke kiye nahi rukegi. Mumkin hai aapki gaadi chooth jayegi lekin Huzoor Mufti e Aazam, Allah Ta'ala par bhaorsa karke niche utar gaye aur wazu bana kar namaz parhne lage aur jamaat qayem ho gayi. Jaise hi magribh ki niyyat ki gayi train chooth gayi Hazrat ka saara samaan aur saath walon ka saara samaan train mein reh gaya tha. Jab gaari chalne lagi to kisi ne dabbe se kaha "miya gaari gayi" "miya gaari gayi" Magar us na samajh ko kya maloom tha yeh kaun hai?

Namaz jamaat se parhi gayi aur sunnat adaa ki gayi nafl namaz parh chuke plat form khaali tha magar log Hazrat ko dekh rahe the Aur Aapas mein baat kar rahe the ke dekho mawlana Sahab Namaz ke liye Utre aur Gaari chali gayi, Magar Hazrat is tarah Mutmayeen the jaise kuch huwa hi nahi magar log pareshaan the ke sab ka samaan gaya..

Abhi yeh soch hi rahe the ke saamne se guard sahab laalten (lamp) liye bhaage aa rahe hai, unke peeche pachason aadmi bhaage aa rahe hai. Guard ne aa kar kaha Huzoor Gaadi ruk gayi hai. Hazrat ne kaha gaadi ruk gayi hai ya engine kharaab huwa? Guard ne gir gira kar kaha ke Hazrat Engine hi nahi chalta, Hamlogo se bari gustaakhi huwi muaf farma dein. Yeh mail train hai ham rok nahi sakte hum majboor they. Hazrat ne farmaya mere dabbe me ek falan naam ka musalmaan baitha hai, kehta hai Namaz ke liye gaari kya intezaar karegi. Station master ne kaha abh dusra engine lagaya jaaye ? Hazrat ne farmaya Agar peeche laao to engine chalega. Waisa hi huwa gaari peeche laayi gayi aur engine ki kharaabi door ho gayi. Tamaan musafiron ko yeh waqiya dekh kar badi hairat bhi aur ibrat bhi huwi. In dino modern musalmaani ki aankhein khul chuki thi. Jaisa hi Hazrat ko dekha un logon ne muafi maangi aur Hazrat ne Muaf farma diya. Is waqiye se islaam ki haqqaniyat ka mushahida hai.




Sent from my iPhone

0 comments:

Post a Comment