Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #526.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 212.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Kaafiroñ ki nigah mein duniya ki zindagi aarasta ki gayi.
2⃣ Aur Musalmano se hañste hai.
3⃣ Aur dar wale un se upar hoñge qiyamat ke din aur Khuda jise chahe be ginti de.
▶ Tafseer
1⃣ Woh usi ki qadar karte aur usi par marte hai.
2⃣ Aur saamne duniyawi se unki be ragbati dekh kar unki tahqeer karte hai jaisa ki Hazrat Abdullah Bin Mas'ood aur Ammar Bin Yaasir aur Soheb wa Bilal رضي الله عنهم ko dekh kar kuffar tamaskhur karte the aur daulate duniya ke guroor mein apne aapko ooñcha samajhte the.
3⃣ Yaani Imaandaar Roze Qiyaat Janaabe Aaliya mein hoñge aur magroor kuffar jahannam mein zaleel wa Khwaar.
Monday, February 22, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment