Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 527.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 213.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Log ek deen par the.
2⃣ Phir Allah ne Ambiya bheje khush khabari dete.
3⃣ Aur darr sunate.
4⃣ Aur Unke saath sacchi kitaab utaari.
5⃣ Ki woh logoñ mein unke ikhtilaafo ka faisla kar de aur kitaab mein ikhtilaaf unhone daala jinko di gayi thi.
6⃣ Baad iske ki unke paas raushan hukm aa chuke aapas ki sarkashi se to Allah ne Imaan waloñ ko woh haq baat sujha di jis mein jhagad rahe the apne hukm se aur Allah jise chaahe seedhi raah dikhaye.
▶ Tafseer
1⃣ Hazrate Aadam عليه السلام ke zamana se ahade Nooh tak sab log ek deen aur ek shariat par the phir unme ikhtilaaf huwa to Allah Ta'ala ne Hazrate Nooh عليه السلام ko Mab'uus farmaya yeh bo'asat mein pehle Rasool hai. (#Khaazin)
2⃣ Imaandaro aur Farmabardaro ko sawab ki.(#Madarik wa Khaazin)
3⃣ Kaafiro aur naa farmano ko Azaab ka.(#Khaazin)
4⃣ Jaisa ki Hazrate Aadam wa Sheesh wa Idrees par sahaeef aur Hazrate Moosa par Tauret, Hazrate Dawood par Zuboor, Hazrate Isaa par Injeel aur Khaatamul Ambiya Mohammed Mustafa ﷺ par Quraan e Hakeem.
5⃣ Yeh ikhtilaaf tabdeel wa tahreef aur Imaan wa kufr ke saath tha jaisa ki Yahood wa Nasaara se waaqe huwa. (#Khaazin)
6⃣ Yaani yeh ikhtilaaf nadani se na tha balki.
Monday, February 22, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment