Monday, February 22, 2016

Safar e Hajj#527

SHARE
Safar e Haj #527.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Tawaaf ka tareeka aur Masail.

▶ Masala - Tawaaf saat (7) pheron par khatam ho gaya abh agar aathva(8) phera jaan bujhkar qasdan shuru kar diya toh yeh ek jadeed naya tawaaf shuru huwa isey bhi abh saat phere karke khatm kare yuñhi agar mehaz sirf wahem wa waswasa ki bina par aathva phera shuru kiya ki shayad abhi che (6) hi huwe ho jabh bhi usey saat phere karke khatm kare, haan agar iss aathve ko saatva gumaan kiya baad mein maloom huwa ki saat ho chuke hai toh isi par khatm karde saat pure karne ki zaroorat nahi.
▶ Masla - Tawaaf ke pheron mein shak huwa ki kitne huwe toh agar farz ya wajib hai toh saat phere kare aur agar kisi ek aadil shaks ne bata diya ki itne phere huwe toh uss ke qaul par amal lena behtar hai aur do aadil ne bataya toh unke kehne par zaroor amal kare aur tawaaf agar farz ya wajib nahi hai toh ghalib gumaan par amal kare.

#Durre Mukhtar.
#Raddul Muhtaar.

0 comments:

Post a Comment