Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #528.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 214.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Kya is gumaan mein ho ki Jannat mein chale jaaoge aur abhi tum par Agaloñ ki si rudaad (Haalat)na aayi.
2⃣ Pahuchi unhe sakhti aur shiddat aur hila hila daale gaye yaha tak ki keh utha Rasool.
3⃣ Aur uske saath ke Imaan wale kabh aayegi Allah ki madad sun lo beshak Allah ki madad kareeb hai.
▶ Tafseer
1⃣ Aur jaisi sakhtiya un par guzar chuñki abhi tak tumhe pesh na aayi. Shaane Nuzool yeh Aayat gazwaye ahzaab ke muta'alliq naazil huwi jahañ musalmano ko sardi aur bhook wagairah ki sakht takleefe pahuchi thi isme unhe sabr ki talqeen farmayi gayi aur bataya gaya ki raahe
Khuda mein takaaleef bardasht karna qadeem se khaasane Khuda ka mamool raha hai abhi to tumhe pehlo ki si takleefe pahochi bhi nahi hai Bukhari Shareef mein Hazrate Khubaab Bin Arat رضي الله عنه se marwi hai ki Huzoor Sayyade Aalam ﷺ Saya e Kaaba mein Apni chadar mubarak se taqiya kiye huwe tashreef farma the Humne Huzoor ﷺ se arz ki Huzoor hamare liye kyu dua nahi farmate hamari kyu madad nahi karte farmaya tum se pehle log giraftaar kye jaate the zameen mein gadha khod kar usme dabaye jaate the aur cheer kar do tukde kar daale jaate the aur lohe ki kanghiyon se unke gosht noche jaate the aur unme ki koi musibat unhe unke Deen se rok nahi sakti thi.
2⃣ Yaani Shiddat is nihayat ko pahuch gayi ki un ummatoñ ke Rasool aur unke farmabardar momin bhi talab e madad mein jaldi karne lage bawajood ki Rasool bade saabir hote hai aur unke haal ko mutagayyar na kar saki.
3⃣ Iske jawab mein unhe tasalli di gayi aur yeh irshaad huwa.
Monday, February 22, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment