Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #534.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 217
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tumse puchhte hai maahe haraam mein ladne ka hukm.
2⃣ Tum farmao isme ladna bada gunaah hai.
3⃣ Aur Allah ki raah se rokna aur us par Imaan na laana aur Masjid e Haraam se rokna aur uske badne walo ko nikaal dena.
▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool Sayyade Aalam ﷺ ne Abdulllah bin jahash ki Sarkardagi mein mujahideen ki ek jama'at rawana farmayi thi usne mushrikeen se qitaal kiya unka khayal tha ki wo roz jamadil Ukhra ka aakhir din hai magar dar haqeeqat chaand 29 ko ho gaya tha aur wo Rajjab ki pehli taarikh thi is par kuffar ne musalmano ko aar dilayi ki tumne Maahe Haraam haram mein jungi ki aur Huzoor ﷺ se uske muta'alliiq sawal hone lage is par yeh Aayat Naazil huwi.
2⃣ Magar Sahaba se yeh gunah waaqe na huwa kyuki inhe chaand hone ki khabar na thi unke nazdeek woh din Maahe Haraam Rajjab ka na tha.
▶ Masla – Maah-haye Haraam mein jung ki hurmat ka hukm Aayat "Uqtulool Mushriqi-na- haisu wajattumuhum " se mansukh ho gaya.
3⃣ Jo mushrikeen se waaqe huwa ki unhone Huzoor Sayyade Aalam ﷺ aur Aapke As'haab ko saale Hudaibiya Kaaba Mu'azzama se roka aur Aapne Zamana e Kiyaam Makkah Mu'azzama mein Aap ko aur Aap ke As'haab ko itni izaaye di ki wahañ se hijrat karni padi.
〰〰 to be contd..
Tuesday, February 23, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment