Wednesday, February 24, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #544

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #544.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 222.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur tumse puchhte hai haiz ka hukm tum farmao wo naa paaki hai to auratoñ se alag raho haiz ke dino aur unse nazdeeki na karo jabh tak paak na ho leiñ phir jabh paak ho jaye to unke paas jaao jahan tumhe Allah ne hukm diya beshak Allah pasand rakhta hai bahot taubah karne walo ko aur pasand rakhta hai suthroñ ko.
▶ Tafseer

▶ Shaane Nuzool Arab ke log yahood wa majoos ki tarah Haayeza aurato se kamala nafrat karte the saath khana peena ek makaan mein rehna garawa na tha balki shiddat yahañ tak pahuch gayi thi ki unki taraf dekhna aur unse kalaam karna bhi haraam samajhte the aur Nasaara uske bar-aks Haiz ke ayaam mein aurato ke saath badi mohabbat se mashgul hote the aur ikhtelaat mein bahot mubalga karte the Musalmano ne Huzoor ﷺ se Haiz ka hukm dariyaft kiya is par yeh aayat naazil huwi aur Ifraat wa tafreet ki raahe chhod kar aitedaal ki taalim farmayi gayi aur bata diya gaya ki halate haiz mein aurato se mujama'at mamnoo hai.

0 comments:

Post a Comment