بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Book - TAMHEED E IMAAN #7
"Jis din bhaagega aadmi apne bhai, Maa,
Baap, joru, beton sabse har ek us din isi haal mein giltaan pechaan hoga ke
doosre ka khayaal bhi na la sakega"
Us din jaanein ke fulaan (gustaakh-e-Rasool
deobandi) ya fulaan (gustaakh-e-Rasool wahabi) tere kaam aa sakein. Hasha
Lillaah, wallahil Azeem, Us din Wohi Pyara Habeeb Sallallahu Ta’ala Alaihi wa
Aalihi Wasallam kaam aayega, uske siwa baaqi tamaam Ambiya wa mursaleen
alaihimus Salaat wa tasleem ko to majaal-e-arz hogi Nahi. Sab nafsi nafsi
farmayenge. Phir aur kisi ki kya kaqeeqat hai?
Haan Woh Pyara, be-kason ka sahara, woh
be-yaaron ka yaara, woh shafaa’at ki aankh ka taara, wo mehboob-e-mehshar aara,
Woh Rauf wa Raheem hamara Sallallahu Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam farmayega
"Anna Laha, Anna laha" Main hoon
shafa’at ke liye, Main hoon shafa’at ke liye, Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam
phir bhi ye nazar karna hai ke sankhon ki ginti mein azdahaam, hazaaron Manzil
ke faaslon par maqaam, laakhon hisaab ke liye haazir kiye gaye, meezan-e adl
laayi gayi, naama-e-aamaal pesh huwe, laakhon ko siraat par chalne le gaye. Jo
baalaaye Jahannam nasab hai, talwaar se zyada tez, aur baal se zyada baareek,
aur hazaron baras ki raah, neeche nazar karein to karoron Manzil tak ka gehraw,
aur us mein woh qaher aag shola zan jis mein se baraabar phool ud ud kar aa
rahe hain. Jaante ho woh phool kaise oonche oonche mehlon ke baraabar?