Sunday, October 25, 2015

Hadees e Mubaraka #424

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Nabi e Akram ﷺ ke Sahaba, Hazrat e Safina رضي الله عنه mulk e rom mein lashkar se bhatak gaye, Aap lashkar ki talaash mein idhar udhar bhatak rahey they ke sher (lion) Aapke saamne aagaya Aapne sher se kaha Maiñ RasoolAllah ﷺ ka gulaam hu Maiñ raasta bhatak kar saathiyo se alag hogaya hooñ.

Yeh sunte hi sher uski dum hilata huwa Aapke saath chalne laga aur jab saathi nazar aane lagey to Aapko chhor kar sher waapas chala gaya.

#Mishkaat Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

APNE MAULA KI HAI BAS SHAAN E AZEEM
JAANWAR BHI KAREIÑ JINKI TAZEEM
SANG KARTE HAI ADAB SE TASLEEM
PED SAJDE MEIN GIRA KARTE HAI

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 423

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 111

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Ahle Kitaab bole hargiz Jannat mein na jayega magar woh joh yahood ya nasraani ho.
2⃣ Ye unki khayal bandiya hai tum farmao laao apni daleel agar sacche ho.

▶Tafseer
1⃣ Yani yahood kehte hai ki Jannat mein sirf yahoodi daakhil honge aur nasraani kehte hai ki faqat nasrani aur yeh musalmano ko deen se munhareef karne ke liye kehte hai jaise naskh waghairah ke lachar shub'haat unhone Is ummeed par pesh kiye the ki Musalmano ko Apne Deen mein kuch tarhud ho jaye isi tarah unko Jannat se mayoos karke Islaam se phairne ki koshish karte hai chunanche Aakhire Paara mein unka ye sakula mazkoor hai Allah Ta’ala unke is Khayale Baatil ka Radd farmata hai.
2⃣ Masla- Is Aayat se yeh maloom huwa ki nafi ke muddayi ko bhi daleel lana zaroori hai baghair iske daawa baatil wa na masmu’a hoga.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Bahar e Shari'at, Zakat ke Masael # 423

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Zakat dene mein isski zaroorat nahi ki faqeer ko ya mustahik ko zakat keh kar de balki zakat ki sirf niyyat kar lena kafi hai yaha tak ki agar hiba ya qarz keh kar de aur niyyat zakat ki kar li to bhi adaa ho gayi.
▶ Issi tarah nazr ya hadiya ya paan khane ya bachho ke mithai khane ya eidi ke naam se di magar niyyat zakat ki thi to adaa ho gai baaz mohtaj zaruratmand zakat ka rupiya nahi lena chahte unhe zakat keh kar denge to nahi lenge lihaza zakat ka lafz naa kahe.

Note:-Yaha ye baat ka khyal rakhe ke jisse zakat de rahe hai wo mustahik ho, Nahi to zakat adaa na huwi.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #423

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Usman e Gani رضي الله عنه riwayat farmate hai ke Sarkar e Do Aalam Noor e Mujassam ﷺ irshad farmate haiñ tum mein behtar woh shakhs hai jo Quraan seekhe aur sikhaye.

#Bukhari Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

YAA ILAAHI RAUNAQ E ISLAAM KE SAAMAN PAIDA KAR
DILOÑ MEIN MOMINEEN KE TU ULFAT E QURAAN PAIDA KAR

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 422

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 110

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur Namaz qayam rakho aur zakat do aur apni Jaano ke liye bhalayi aage bhejoge use Allah ke yahan paaoge beshak Allah tumhare kaam dekh raha hai.

▶ Tafseer
▶ Momineen ko yahood se dar guzar ka hukm dene ke baad unhein apne Islahe Nafs ki taraf mutawajjeh farmata hai.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Bahar e Shari'at - Zakat ke Masael #422

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Zakat ailaaniya aur zahir taur par dena afzal hai aur nafl sadqa chupa kar dena afzal hai. Zakat mein ailan iss wajah se ki chupa kar dene mein logoñ ko tohmat aur badgumani ka mauka milega aur ailan karne se logo ko targeeb hogi ki usko dekh kar aur log bhi denge magar yeh zaroori hai ki riyaa naa aane paaye yaani dikhawa naa ho kyuki isse sawab bhi jaata rahega aur gunah wa azab ka mustahak hoga.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #422

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ jo shakhs kisi buraai ka irada karey phir Allah ﷻ ke khauf se uske karne se ruk jaaye to uss shakhs ke liye ek Neki likh di jaati hai.

#Bukhari Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 421

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 109

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣Bahot kitabiyon ne chaaha.
2⃣ kaash tumhe Imaan ke baad kufr ki taraf phair deiñ apne diloñ ki jalan se baad iske ki haq un par khoob zaahir ho chuka hai to tum chhoro aur dar-guzar karo yahañ tak ki Allah Apna Hukm laye beshak Allah har cheez par Qaadir hai.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool - Junge Uhad ke baad yahood ki jama'at ne Hazrate Huzaifa Bin Yamaan aur Ammar Bin Yaasir رضي الله عنهم se kaha ki agar tum haq par hote to tumhe shikast na hoti tum hamare Deen ki taraf wapas aajaao Hazrate Ammar رضي الله عنه ne farmaya tumhare nazdeek Ahad Shikani kaisi hai unhone kaha nihayat buri Aap ne farmaya Maiñe Ahad kiya hai Ki Zindagi ke aakhir lamha tak Sayyed e Aalam ﷺ se na phirunga aur kufr na ikhtiyaar karunga aur Hazrate Huzaifa رضي الله عنه ne farmaya Maiñ Raazi Huwa Allah ke Rab hone Muhammed Mustafa ﷺ ke Rasool hone Islam ke Deen hone Quraan ke Imaan hone Ka’aba ke Qiblah hone Momineen ke bhai Hone se phir ye dono Sahab Huzoor ﷺ ki khidmat mein Haazir huwe aur Aap ﷺ ko waaqiya ki khabar di Huzoor ﷺ ne farmaya tumne behtar kiya aur fatah payi is par yeh Aayat naazil huwi
2⃣ Islaam ki haqqaniyat ko janne ke bad yahood ka musalmano ke kufr wa irtedaad ki tamanna karna aur yeh chahna ki woh Imaan se mehroom ho jaye hasdan tha hasad bada hi aaib hai.
▶ Masla- Hadees Shareef mein hai Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya hasad se bacho wo nekiyon ko is tarah khaata hai jaise aag khushk lakdi ko.
▶ Masla- Hasad haraam hai.
▶ Masla- Agar koi shakhs apne Maal wa daulat ya asar wa wazahat se gumrahi wa be deeni failata ho to uske fitna se mahfoor rehne ke liye uske jawale nea’mat ki tamanna hasad mein daakhil nahi aur haraam bhi nahi.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Bahar e Shari'at - Zakat ke Masael # 421

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Hazrat Abdullah ibne Masood رضي الله عنه farmate hai hame hukm diya gaya ki namaz parhe aur zakat de aur jo zakat naa de usski namaz qabool nahi
▶Zakat farz hai isska munqir kafir hai aur naa dene wala fasik aur qatl ka mustahak aur adaa mai der karne wala gunehgaar wa mardud-us-shahadat hai yaani jiski gawahi nahi maani jayegi

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in



Hadees e Mubaraka #421

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ, chaar (4) khushnaseeb aise haiñ Meiñ qayamat ke din unki shafa'at karuñga,
1⃣ Mere Ahle Bait ki Taazeem wa Takreem karne waala.
2⃣ Unke liye unki zaroorat ki cheezein pesh karne waala.
3⃣ Zaroorat ke waqt unke umoor ka intezaam karne waala.
4⃣ Dil wa zabaan se unki muhabbat rakhne waala.

#Kanzul Ummal, Hadees No 34180.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

SHAFA'AT KAREY HASHR MEIN JO RAZA KI
SIWA TERE KISKO YEH QUDRAT MILI HAI