Sunday, November 1, 2015

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali Radiallahu Anhu #459

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Irshadat e Hazrat Ali رضي الله عنه
▶ Agar tum saari zindagi ke liye kisi ko dost rakhna chahte ho to apne dil mein ek qabr bhi bana lo taake uss mein tum apne dost ki galtiyañ dafan kar sako.
▶ Dost chahe jitna bhi bura ho jaye usse dosti mat torna kyuñki pani chahe jitna bhi ganda ho jaye aag bhujane ke kaam aata hai.
▶ Logoñ ke diloñ mein apna maqaam is tarah bana lo mar jaao to tumhare liye dua kare, Zinda raho toh milne ki justaju kare.
▶ Zindagi mein khud ko kabhi kisi insaan ka aadi mat banana kyuñki insaan bahot khudgarz hai, jabh aapko pasand karta hai toh aapki buraai bhool jaata hai aur jabh nafrat karta hai to aapki acchai bhool jaata hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Maah e Ramzaan #461

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Masla ~ Qaza e Umri ki niyat se Shab e Qadr ya akheer jummah e ramzan (Alwida jummah) mein jama'at se parhte hai aur yeh samajhte hai ke umr bhar ki qazaein ussi ek namaz se ada ho gayi, yeh baatil mahaz hai.

# Bahar E Shari'at, Jild 4, Safah 48.

Aaj kal social media par ek messsge bohat aam ho raha hai ke aakhiri jumma ko 4 rakat namaaz parhne se 700 saal ki namaaz qaza ho to bhi adaa ho jaaegi yeh mahez baatil hai uski koi haqeeqat nahi hai aur isse barhkar yeh jhoot baandhte hai ke yeh Hadees e Pak hai, mafoom e hadees e pak hai Huzoor ﷺ farmate hai jo mere naam se jhoot ko mansoob karey woh apna thikana jahannam mein talash karey. Jo log aisa message forward kiye hai unhein chaahiye ke tauba aur astagfaar karey, aur koi hamara bhai/behen aisa message forward karey to uski islaah farmaye.

جَــزَاك اللــه خَيــرَالْجــزَاء

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #460

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 151.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Jaisa humne tum mein bheja ek Rasool tum mein se.
2⃣ Ki tum par Hamari Aayate tilawat farmata haiñ aur tumhare paak karta.
3⃣ Aur kitaab aur pukhta ilm sikhata hai aur tumhe wo taleem farmata haiñ jiska tumhe ilm na tha.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani Sayyade Aalam ﷺ.
2⃣ Najasat shirk wa junoob se.
3⃣ Hiqmat se mufassireen ne fiqah muraad li hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali Radiallahu Anhu #460

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

 Hazrat Ali رضي الله عنه ka Ilm
▶ Ilm ke aitbaar se bhi Hazrat Ali رضي الله عنه ka Aulma e Sahaba رضي الله عنهم  mein bohot uncha makaam rakhte hai.
▶ Aap ke faisle islaami malumaat ke anmol hire (daimond) hai.
▶ Ibne Abbas رضي الله عنه farmate hai ke humne jabh bhi Aapse kisi bhi masle mein sawal kiya bilkul sahi jawab paya.
▶ Sayyeda Ayesha رضی اللہ عنہا farmati hai ke Ali se zyada sharaai masaail janne wala koi nahi.
▶ Ibne Masood farmate hai ke Madina Tayyiba mein Ilme Faraaiz aur muqaddamaat (logoñ ke mu'amlaat) ke faisle karne mein Hazrat Ali رضي الله عنه se zyada ilm rakhne wala koi doosra nahi.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #460

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ jo shakhs Imaan ke saath sawaab ki ummid se Roza rakhega to uske pichle gunaah bakhsh diye jaayege.

Aur jo shakhs Imaan ke saath sawaab ki niyyat se Ramzaan ki raaton mein ibadat karega to uske pichle gunaah bakhsh diye jayege.

Aur jo shakhs Imaan ke saath sawaab hasil karne ki garaz se Shab e Qadr mein ibadat karega uske pichle gunaah baksh diye jaaege. ”

#Bukhari Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


DIL SE AUR IMAAN SE
ROZA RAKHA KARO
APNI HAR NIYYAT MEIN
KHUDA KA NAAM LO

Maah e Ramzaan #460

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Masla ~ Sadqa e Fitr har musalmaan aazad malik e nisab par (jiska nisab haajat e asliya ke alawa ho) uspar wajib hai. Sadqa e fitr ke liye aqil (aqal wala) baligh aur maal ka naami hona shart nahee, aur maal par ek saal guzarna bhi zaroori nahi.

#Durr e Mukhtar, Jild 3, safah 362

Sadqa e fitr waajib hai, iska waqt umr bhar hai. agar pehle nahee diya tha to ab de. Na dene se uska hukm saqit nahi hoga. Aur takheer se dega to qaza bhi nahi kehlayega, magar sunnat yeh hai ki Namaaz e Eid se pehle ada kare.

#Bahar-e-Shariat, Jild 5, Safah 935.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #459

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 150

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur aye Mehboob tum jahañ se aao apna Muñh masjide haraam ki taraf karo aur aye musalmano tum jahañ kahi ho apna muñh usi ki taraf karo ki logoñ ko tum par koi hujjat na rahe.
2⃣ Magar jo un mein naa isnaafi kare to unse na daro aur mujhse daro aur yeh isliye hai ki Maiñ apni nea’mat tum par poori karu aur kisi tarah tum hidayat paao.

▶ Tafseer
1⃣ Aur Kuffar ko ye ta’an karne ka mauka na mile ki unhone quraish ki mukhalafat mein Hazrate Ibrahim علیہ السلام wa Ismaeel علیہ السلام ka qibla bhi chhor diya Bawajood ki Nabi e Kareem ﷺ unki aulaad mein haiñ aur unki azmat wa buzurgi maante bhi hai.
2⃣ Aur barahe ainaad bejaa aitraaz kare.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #459

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ Maah e Ramzaan mein jisne nafl amal kiya woh uss shaks ki tarah hai jisne dusre mahino mein farz adaa kiya, aur jis shaks ne iss mahine mein ek farz adaa kiya aisa hai jaise dusre mahino mein 70 farz ada kiya. Aur yeh mahina sabr ka mahina hai.

#Baihaqi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


ALLAH ﷻ KI TARAF
APNE QADAM SE AAGE BARHO
IS SABR KE MAHINE MEIN
NAFL PARHA KARO

Maah e Ramzaan #459

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Abbas رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ, Agar mumkin ho to Salatul Tasbeeh roz ek martaba padhna. Agar roz padhna mumkin nahi toh har jummah ke din padhna. Agar har jummah ke din padhna mumkin na ho toh har mahine mein iss namaz ko padhna. Agar har mahine mein yeh namaz mumkin na ho toh iss namaz ko saal mein ek martaba padhna. Agar saal mein ek martaba padhna bhi mumkin na ho toh zindagi mein ek martaba isse zarur padhna.

#Abu Dawood Shareef. Jild 2 Safah 44-45.

https://fbcdn-sphotos-h-a.akamaihd.net/hphotos-ak-xpf1/t31.0-8/335911_10150903522070334_1239077798_o.jpg

Salat ul Tasbeeh kaise padhna hai uska tareeka aap iss link se haasil kar sakte hai.!

Shab e Qadr ankareeb hai tamaam members ko yeh babarkat shab mubarak ho. Iss khaas shab mein Kanzul Imaan team ko apni duaon mein zaroor yaad rakhna.!
جزاک الله خیر

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #458

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 147, 148 & 149.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ (Aye Sunne wale ) yeh Haq hai tere Rab ki taraf se ( ya Haq wahi hai jo tere Rab ki taraf se ho ) to khabardaar tu shak na karna aur Haq ke liye tawajjoh ki ek samt hai ki woh ussi ki taraf muñh karta hai to ye chaho ki nekiyo mein auroñ se aage nikal jaaye tum kahi ho Allah tum sab ko ikattah le aaye.
2⃣ Beshak Allah jo chahe kare aur jahan se aap apna muñh Masjide Haraam ki taraf karo aur woh zaroor tumhare Rab ki taraf se Haq hai aur Allah Kaamo se gaafil nahi.

▶ Tafseer
1⃣ Roz e Qayamat sabko jama farmayega aur Aamaal ka jazaa dega
2⃣ Yaani khwaah kisi shehair se safar ke liye niklo Namaz mein Apna munh Masjide Haraam ( Kaaba ) ki taraf karo.

fb.me/kanzul.imaan.group