Friday, April 1, 2016

Hadees e Mubaraka #686

EK ZAMANA AAEGA AISA BHI
SUNLO SAB SARKAR ﷺ KA FARMAAN
JEB MEIN HARAAM KI KAMAAI HOGI
HALAAL RIZQ TALASH KAREGA INSAAN

بسمالله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 686
18 Jamadil Awwal 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ logoñ par ek zamana aisa bhi aaega jabh koi is baat ki parwah nahi karega ki usne jo maal haasil kiya woh halal hai ya haraam.

#Bukhari Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #685

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #685.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 62 & 63

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Yahi beshak saccha bayan hai.
2⃣ Aur Allah ke siwa koi ma'abood nahi aur Allah hi gaalib hiqmat wala hai○
Phir agar woh muñh phere to Allah fasaadiyoñ ko jaanta hai.

▶ Tafseer
1⃣ Ki Hazrat Isaa, Allah ke bande aur uske Rasool hai aur unka woh haal hai jo upar mazkoor ho chuka.
2⃣ Isme Nasaara ka bhi radd hai aur tamaam mushrikeen ka.

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #685

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #685.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Gaib ki Khabarein dena.

Shaikh Khizr Al-Hussaini ne kaha ki Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ne mujhse farmaya ki tum Museel jaaoge wahañ tumhare yahañ aulaad hogi pehli baar ladka hoga jiska naam Muhammed hoga, jabh woh 7 saal ka hoga to Baghdaad ka ek Ali naami naa-beena shakhs 6 maah mein usse Qurane Majeed hifz kara dega aur tum 94 saal 6 maah 7 din ki umr mein Arbal mein intiqaal karoge aur tumhari sunne ki taaqat aur jism ke hisse ki taaqat us waqt bilkul theek hogi, Chunache Shaikh Khizr Al Hussaini ke bete Abu Abdullah Muhammed ka bayan hai ki mere waalid Museel Shahar mein aakar thehare aur wahi maahe Safar Al-Muzaffar mein meri paidaish huwi jabh maiñ 7 saal ka huwa to waalid ne meri taalim ke liye ek naa-beena Haafiz muqarrar kiya jinka naam Ali tha aur Baghdaad ke rehne wale the phir mere waalid ka inteqaal Arbal mein 94 saal 6 maah 7 din ki umr mein huwa aur unki sehat bilkul thik thi aur tamaam hawaas sahi the.

#Qalaaidul Jawahar, Safah 126

▶ Tashreeh - Ye Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki karamat bhi hai aur Aap ke ilme gaib ka kamal bhi jaisa ki Aapne farmaya bilkul thik waisa hi huwa.

Ata ki hai bulandi Haq ne Ahlullaah ke jhandoñ ko,
Magar sab se kiya uñcha pharera Gaus e Aazam ka..

Hadees e Mubaraka #685

KAAM WOH LELIJIYE TUMKO JO RAAZI KARE
THEEK HO NAAME RAZA TUMPE KAROROÑ DUROOD

بسمالله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 685
17 Jamadil Awwal 1437 Hijri.

Hazrat e Umar Ibne Khattab رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ ke kaamoñ ka sawaab sirf neeyatoñ se hai aur har aadmi ke liye wahi hai jo woh neeyat kare.

#Bukhari Shareef.
#Muslim Shareef.
#Mishkat Shareef. Safah 11.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #684

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #684.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 60 & 61

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aye sunne wale yeh tere Rab ki taraf se haq hai to shaq waloñ mein na hona○
Phir aye mehboob jo tumse Isaa ke baarein mein hujjat kare baad iske ki tumhe ilm aa chuka to unse farma do aao hum bulaye apne bete aur tumhare bete apni auratein aur tumhari auratein aur apni jaane aur tumhari jaane phir mubahala kare to jhootoñ par Allah ki laanat daale.

▶ Tafseer
▶ Jabh Rasoole Kareem ﷺ ne nasaara e nazraan ko yeh Aayat padh kar sunayi aur mubahala ki daawat di to kehne lage hum gaur aur mashwara karle kal aap ko jawab denge jabh woh jamaa huwe to unhone apne sabse bade Aalim aur sahabe raaye shakhs Aaqib se kaha ki Aye Abdul Maseeh Aap ki kya raaye hai to usne kaha ki aye jamaate nasaara tum pehchaan chuke ki Muhammed (ﷺ) Nabi e Mursal to zaroor hai agar tumne unse mubahala kiya to sab halaaq ho jaoge abh agar nasraaniyat par qaayam rehna chahte ho to unhein chhordo aur ghar ko laut chalo yeh mashwara hone ke baad wo Rasoole Kareem ﷺ ki khidmat mein haazir huwe to unhone dekha ki Huzoor ﷺ ki godh mein Imaame Hussain hai aur daste mubarak meiñ Imaame Hasan ka haath aur Fatima aur Ali (رضي الله عنهم) Huzoor ﷺ ke piche hai aur Huzoor ﷺ un sabse farma rahe hai ki jabh maiñ dua karu to tum sab aameen kehna nazraan ke sabse bade nasraani Aalim (Paadri) ne jabh un hazraat ko dekha to kehne laga aye jamaate nasaara maiñ aise chehre dekh raha hu ki agar yeh log Allah se pahaad hataa dene ki dua kare to Allah Ta'ala pahaad ko jagah se hataa de inse mubahala na karna halaaq ho jaoge aur qayamat tak roo e zameeñ par koi nasraani baaki na rahega yeh sun kara nasaara ne Huzoor ﷺ ki khidmat mein arz kiya ki mubahala ki to hamari raaye nahi hai Aakhirkaar unhone jizaya dena manzoor kiya magar mubahala ke liye tayyar na huwe Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya uski kasam jiske daste qudrat mein meri jaan hai nazraan waaloñ par azaab kareeb aa hi chuka tha agar woh mubahala karte to bandaroñ aur su'aroñ ki soorat mein maskh kar diye jaate aur jungle aag se bhadak uthta aur nazraan aur waha ke rehne wale parind tak nest wa naabud ho jaate aur ek saal ke arsa mein tamaam nasaara halaaq ho jaate.

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #684

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #684.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Aapko Aazmaane Wale 100 Fuqaha Ki Giraft Aur Muaafi.

Shaikh Aarif Bin Nabhaan Bin Raqaaf Shaibani رحمة الله عليه se naql hai aap farmate hai ki jabh Shaikh Muhiyuddin Sayyed Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه Ki shohrat badhi to Baghdaad ke 100 fuqaha isliye jamaa huwe ki har ek unmein se alag alag uloom mein masla puche taaki Aap jawab na de sake yeh sabh milkar majlis mein haazir huwe jabh majlis kaayam huwi to Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه muraqbe mein huwe aur Aapke seene se ek noor ki bijli chamki usko wahi shakhs dekhta jisko Khuda Ta'ala dikhana chahta un 100 faqeeho ke seeno par se uska guzar huwa jisse woh bekaraar ho gaye aur chilla uthe Aap ki kursi tak gaye aur apne saro ko Aap ke qadamoñ par rakh diya aur achanak majlis mein shor paida ho gaya tab Aapne har ek ko seene se lagaya aur har ek se kaha ki tumhara masla yeh tha aur uska jawab yeh hai yahañ tak ke sab ke masail bayan kar diye jabh majlis khatam huwi to 100 fuqaha kehne lage ki jabh hum majlis mein baithe to hamare seeno mein tamaam uloom salb ho gaye jaisa ki humko kabhi ilm tha hi nahi phir jabh Aapne humko seene se lagaya to woh tamaam uloom wapas kar diye phir Aapne woh tamaam masail ke jawab bayan kar diye jo hum tayyar kar ke laaye the.

#Bahjatul Asraar, Safah 281
.

▶ Tashreeh - Is karamat se kayi baatoñ ka pata chalta hai ki Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ko itna tasarruf haasil hai ki Aap dusro ke seeno se ilm salb kar sakte hai aur wapas bhi ataa kar sakte hai.
Doosra yeh ki Aap ko ye gaib ka ilm hai ki woh fuqaha kis iraade se aaye hai aur unke kya sawalat hai.
Teesra yeh hai ki koi Awliya e Kaamileen ko aazmaaye ya unki shaan ko kam karne ki koshish karta hai uska apna hi nuksaan hota hai jaisa ki un fuqaha ko hone laga tha agar Aap darguzar na farmate.
Chautha yeh hai ki Aap ka ilm is qadr bada tha ki sabh ke jawabat ataa farmaye.

#Tohfatul Qaadriya, Safah 64.

Mufti e shara'a bhi hai qaazi e millat bhi hai,
Ilm e asraar se maahir bhi hai Abdul Qaadir.

Hadees e Mubaraka #684

KHAATE HAI SUNNI HALWA SARKAR ﷺ KE KARAM SE
DEKHO TOH NAJDIYOÑ KO KAWWOÑ PE PYAAR AAYE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 684
16 Jamadil Awwal 1437 Hijri.

Hazrat e Aisha Siddiqa رضي الله عنها irshad farmati haiñ ki Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ halwa aur shahed pasand farmate the.

#Bukhari Shareef.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan#683

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #683.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 56, 57, 58 & 59.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ To woh jo kaafir huwe main unhe duniya wa aakhirat mein sakht azaab karunga aur unka koi madadgaar na hoga○
Aur wo jo Imaan laaye aur acche kaam kiye Allah unka neg unhein bharpur dega aur Zaalim Allah ko nahi bhaate○
Ye hum tum par padhte hai kuch Aayatein aur hiqmat wali nasihat○
Isaa ki kahawat Allah ke nazdeeq aadmi ki tarah hai usse mitti banaya phir farmaya ho jaa wo fauran ho jaata hai.

▶ Tafseer
▶ Shaane Nuzool nasaara e nazraan ka ek wafd Sayyade Aalam ﷺ ki khidmat mein aaya aur woh log Huzoor ﷺ se kehne lage Aap gumaan karte hai ki Isaa Allah ke bande hai farmaya Haañ uske bande aur uske Rasool aur uske kalime jo kuñwari batool azra ki taraf alqa kiye gaye nasaara yeh sun kar bohat gussa mein aaye aur kehne lage Yaa Muhammed (ﷺ) kya tumne kabhi be baap ka insaan dekha hai isse unka matlab yeh the ke woh Khuda ke bete hai (Maaz'Allah) is par yeh Aayat naazil huwi aur yeh bataya gaya ki Hazrate Isaa عليه السلام sirf baghair baap hi ke huwe hai aur Hazrate Aadam عليه السلام to Maa aur Baap dono ke baghair mitti se paida kiye gaye to jabh unhein Allah ka makhluq aur banda maante ho to Hazrate Isaa عليه السلام ko Allah ka makhluq wa banda manne meiñ kya ta'ajjub hai

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam#683

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #683.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Mureedoñ ki Dastgiri karne ka bayaan.
▶ Kaafir mureed ka Imaan par khaatima aur kafan-dafan.

Shehair Burhanpur mein ek kaafir rehta tha, woh Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ka bohat aqeedatmand tha aur khud ko Aapka mureed batata tha aur har saal khane pakwaker aulma aur fakeeroñ ko khilata aur mashaloñ o raushani karta aur majlis ko sajata aur yeh sab kuch aapki mohabbat ki wajah se karta jabh woh mara to kaafiroñ ne usse margat par le jaker aag mein daala lekin uska baal bhi na jalaa phir unhone aapas mein taye karke use dariya mein daal diya Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ne ek buzurg ko khwab mein farmaya falaañ kaafir mera roohani farzand hai jiska naam Mardaan-e-Khuda ke nazdeeq Saadullah hai use pakad kar gusl do aur uski Namaze janaza padha kar dafn kardo beshak Allah Ta'ala ne mujhse waada farmaya hai ki tere mureedoñ ko duniya aur aakhirat ki aag mein na jalaounga aur unka khaatima Imaan par aur tauba par karuga.


#Tafrihul Khaatir, Safah 42.

▶ Tashreeh - Malum huwa ki kaafir dil se Musalman ho chuka tha aur Aapse aqeedat wa mohabbat rakhta tha lekin kisi majboori ki wajah se usne is haqeeqat ka izhaar kisise nahi kiya tha lekin Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه uski chhupi huwi haalat se waaqif the isliye uske marne ke baad ek buzurg ke zariye kafan dafan ka intezaam karwa diya is waaqiye se yeh bhi malum huwa ki 11vi shareef manana jayaz hai aur Sayyiduna Gause Aazam رضي الله عنه ki tawajjoh aur inayat us shaks par hoti hai jo ehtimaam karta hai jaise ki us kaafir par huwi.

Aapka Naam e Muqaddas mere dil par naqsh hai,
Meri bakshish ke liye kaafi hai samaan Gaus e Pak.

Hadees e Mubaraka #683

MUJHE AISE AMAL KI DE TAUFEEQ
KE HO RAAZI TERI RAZA YAA RAB

بسمالله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 683
15 Jamadil Awwal 1437 Hijri.

Ameer ul Momineen Hazrat e Abubakr Siddique رضي الله عنه riwayat farmate hai Rasool e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ makkaar aur bakheel jannat mein nahi jaaenge aur woh shakhs jo khairat de kar ehsaan jataaye.

#Tirmizi Shareef.