Wednesday, September 28, 2016

Hadees e Mubaraka #738

JOOTE PEHNA KARO SABHI
THAKAN SE BACHTE RAHO SABHI
KYA FARMATE HAI HAMARE NABIﷺ
ISS BAAT PAR AMAL KARO SABHI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 738
12 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Jabir رضي الله عنه se rivayat hai kehte hai ki Maiñe Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ko yeh farmate suna ki joota (shoes) bakasrat istemal karo ki aadmi jabh tak joota pehne huwe hai woh sawaar hai yaani kam thakta hai.

#Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #737

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 737.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 04
Aayat No. 127 , 128 & 129

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Isliye ke kaafiroñ ka ek hissa kaat de ya unhe zaleel kare ki naa muraad phir jaayeñ ○ Ye baat tumhare haath nahiñ ya unhe tauba ki toufeeq de ya un par azaab kare ki wo zaalim haiñ ○ Aur Allah hi ka hai jo kuch aasmano meiñ hai aur jo kuch zameen meiñ hai jise chaahe bakshe aur jise chahe azaab kare aur Allah bakhshne wala meherbaan .

▶ Tafseer
▶ Is tarah ki unke bade bade sardar maqtool ho aur giriftaar kiye jaaye jaisa ki Badar mein pesh aaya

Qutb Al Irshaad Siraaj Al Auliya Sayyed Abul Hussain Ahmed e Noori Al Hussini Al Qadri Barakati Marehrawi #737

Qutb Al-Irshaad Siraaj Al-Auliya Sayyed Abul Hussain
Ahmad-e-Noori Al-Hussini Al-Qadiri Barakaati Marehrawi # 737.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Noori Miyan ki bargaah hamesha khulfaon aur mureedon se bhari rehti jo koi apni takleef lekar aate woh aapke faiz se malamaal ho kar laut'te. Aap hamesha gareeboñ ke ghar tashreef le jaate aur tasalli diya karte. Aapke Ameer mureed khud ke ghar hazrat ko le jaane ki khwaish rakhte lekin aap gareeboñ ke ghar jaana pasand farmate the.

Hazrat Miyan Sahab Bareilly Shareef ke behtareen sunni aulmaoñ mein se the. Hazrat Noori Miyan sahab ne kaafi kitaben alag alag mazmoon par likhi :

Al-Aslul Musaffa fi Aqaid-e-Arbab-e-Sunnatil Mustafa – .
Risala Sawal-o-Jawab –
Ishtihar-e-Noori – .
Tehqeequl Tarawih –
Dalil-ul-Yaqin –.
Lataif-e-Tariqat Kashful Quloob –
An-Noor-o-Wal-Baha fi-Asaneedil Hadith wa Salasilil Awliya –.
Sirajul Awarif fil-Wasaya wal Ma'raif –
Al-Jafar – .
Takheel-e-Noori – . Apki kalam ka naam shuruwat mein Saeed rakha Baad mein a Musannif ka farzi naam noorie rakha.

Apka wisaal 11th Rajab ul-Murajjab 1324 Hijri (31st of August 1906) mein huwa. Aapki pehli ahliya Ruqaiyyah Begum jo aapke chacha Hazrat Chotoo Miyan ki beti thi aur aapki doosri ehliya Altaf Fatima jo Sayyid Muhammad Haider ki beti thi. Aapke farzand Sayyid Muhiyuddin Jilani bachpan mein inteqal farmagaye.

#Tazkira Mashaikh-e-Qadiriyah Barakatiya Razviyah

# Aye Raza Kiyon Malool Hote ho
Haan Tumhara Hai Ahmed E Noori

Tuesday, September 27, 2016

Hadees e Mubaraka #737

JO KARTE HAI GALAT KAAM
HOTA HAI UNKA BURA ANJAAM
KYA FARMATE HAI KHAIRUL ANAAM
GAUR SE PARH LO SABHI TAMAAM

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 737
11 Rajjab 1437 Hijri.

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ jabh kisi qaum mein fahaashi (badkaari) ka riwaaj barhta hai, yahan tak ke woh ailaaniya behayayi karne lagti hai. To inn logoñ ke darmiyaan aisi beemariya phail jaati hai jo unke islaaf ke zamaane mein maujood nahi thi.

#Ibne Majah Shareef, Hadees No 4155.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #736

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 736

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 04
Aayat No. 126

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur ye fatah Allah ne na ki magar tumhari khushi ke liye aur isiliye ki isse tumhare dil ko chain mile
2⃣ Aur madad nahi magar Allah gaalib hiqmat wale ke paas se

▶ Tafseer
1⃣ Aur dushman ki kasrat aur apni qillat se pareshani wa ijteraab na ho
2⃣ To chahiye ki banda musabbibul asbaab par nazar rakhe aur usi par tawaqqul rakhe

Qutb Al-Irshaad Siraaj Al-Auliya Sayyed Abul Hussain
Ahmad-e-Noori Al-Hussini Al-Qadiri Barakaati Marehrawi # 736.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Shah Abul Hussain Ahmad-e-Noori urf Miyan Sahab, Marehra Shareef ke Shahi gharana ke akhri Qutub, aap Shah Aal-e-Rasool Ahmadi رضي الله عنه Marehra shareef ke wisaal ke baad Sajjadah Nasheen baney..

Hazrat Noori Miyan ki wiladat 19 Shawal 1255 hijri ( 26th December, 1839) Marehra shareef mein huwi. Aap takriban dhai saal (2 and half) ke the jabh aapki walida inteqal farma gayi. Aap apki Dadi Nisar Fatima aur Dada Shah Aal-e-Rasool Ahmadi رضي الله عنه ke saaye mein pale.. Hazrat Khatim Al Akabir Shah Aal-e-Rasool ne apko apni ankhon se kabhi aapko door na kiya.

Aapne inhe khaandani riwayaton mein deeni taleem di. Jabh aapki umr shareef 11 saal ki thi tabh aapke walid Shah Zahoor Hassan inteqal farma gaye (26 jamadil awwal ) dhari kathiawad mein. Tabhi aapke Dada ne apko badi mazbooti se sufiyana rivayaton mein dakhil kiya.

Hazrat Khatim al-Akabir kaha karte: Miyan sahib ko duniyawi muamlaat ke shaukh nahi woh zyadatar ruhani khayalat mein rehte the. Woh un 7 Qutub mein se hai jiski khuskhabri Hazrat BuAli Shah Qalandar aur Hazrat Shah Badiuddin Qutb-e-Madar ne di. Aap un 7 Qutub mein se sabse akhri qutub hai.

Hazrat Noori Miyan 1267 hijri mein Shah Aal-e-Rasool ke mureed bane aur dargah shareef ke sajjadah nasheen bane. Aapne apni dunyawi taleemat uss daur ke mashoor Aalimon se paayi, taleemat ke baad Shah Aal-e-Rasool Ahmadi ne Hazrat noori miyan ko apne khandaan ke 5 silsilon ki khilafat o ijazat se nawaza Qadriyah, Chishtiyah, Naqshbandiyah, Suhrwardiyah aur Maddariyah. Aap apna zyadat waqt zikr o azkaar mein bitaya karte...

Cont.......

# Itna keh de Raza hamara hai,
Paar bedaa hai Ahmed e Noorie

Hadees e Mubaraka #736

PIJIYE PAANI BAITH KAR PIJIYE PAANI DEKH KAR
PIJIYE PAANI TEEN SAANS MEIN
KIJIYE AMAL SUNNAT E RASOOL ﷺ PAR


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 736
10 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Huraira رضي الله عنه
se riwayat hai ke Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ne irshad farmaya ke khade hokar hargiz koi shakhs paani na piye aur jo bhool kar aisa kar guzre usey chahiye ki qayi (vomit) kar de.

#Sahih Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #735

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 735.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 04
Aayat No. 124 & 125.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Jabh aye mehboob tum musalmanoñ se farmate the kya tumhe kaafi nahi ki tumhara Rab tumhari madad kare 3000 hazaar farishte utaar kar ○ Haañ kyuñ nahi agar tum sabr wa taqwa karo aur kaafir usi dum tum par aa pade to tumhara Rab tumhari madad ko 5000 hazaar farishte nishaan waale bhejega

▶ Tafseer
▶ Chunanche momineen ne roze badar Sabro taqwa se kaam liya Allah Ta'ala ne hasbe waada 5000 Hazaar farishtoñ ki madad bheji aur musalmano ki fatah aur kaafiro ki shikast huwiñ

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه#735

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#735.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Sayyed Shah Abul Hussein Ahmed e Noori رضي الله عنه (Peero Murshid Tajdar e Ahle Sunnat Sayyeddi Sarkaar Mufti e Aazam رضي الله عنه )

Aksar o beshtar Bargaah e Gareeb Nawaz رضي الله عنه mein tashrif le jaya karte they. Ek martaba aap apne chand khuddam ke saath Urs e Mubarak ke mauke par haazir huwe aapne irshad farmaya - Sarkaar e Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke darbar se fakeer ko hukm huwa hai ki apne khuddam ko bata dein ki agar kisiko kuch arz karna ho toh darkhwast likh kar aapko pesh kar dein woh darkhwast aapki ma'arifat mere darbar mein pesh hogi aur uske jawab bhi aap hi ki ma'arifat unko milenge.

Maulana Shabbir Badayuni ne arz ki - Huzur! Woh darkhwast kiss tarah darbar mein pesh hogi.? Aapne irshad farmaya ki - aastane ke kuch khuddam jinnaat bhi hai jo iss kaam par maamur hai. Chunanche darkhwast hazrat ke paas jamaa huwi aur hazrat ne woh darkhwaste Hafiz Nazrullah Khaa Badayuni ko inayat farmate huwe hukm farmaya ki aastana e aaliya ke junoob magribhi kone par kohe chilla ki janib ek ghaati hai waha jaao aur jo shakhs tumse yeh darkhwast talab karey ussey dedo.

Hazrat Maulana Shabbir Badayuni ka bayan hai ki jabh Hazrat ke hukm se Hafiz Nazrullah Sahab woh darkhwaste lekar chale toh Maiñ bhi khamoshi se unke piche lag gaya. Jabh ghaati mein dakhil huwe toh Mere aur Nazrullah Sahab ke darmiyan chand qadmoñ ka faasla tha. Achanak Maine dekha ki Hafiz Nazrullah Sahab ka haath khali hai Maine unse pucha ki darkhwaste kaha hai?
Hafiz Sahab farmaye.
Aap mujhse mazak karte ho abhi aapne hi toh woh parchiya mujhse yeh keh kar le li ke Huzur ne talab ki hai. Iss jawab par Maiñ hairaan reh gaya Hafiz Sahab ne wapas aakar Hazrat Noorie Miyan ki khidmat mein saara wakiya bayan kar diya. Hazrat Noorie Miya ne farmaya ki wahi khadim e Aastana they jo iss soorat mein tumse parchiya le gaye.
Phir farmaya ki yeh Huzoor Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ka iss fakeer par Karam e Khaas hai warna mujhse behtar hazaaro iss darbar e aali waqar mein haazir hote hai magar yeh khaas nigaahe karam baaz khaas khuddam par hi hoti hai ke woh apne mureedo ki arziya Sarkaar Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke huzur pesh kare. Teesre din wo parchiya jawab ke saath hum sabko mili jo nawadirat mein se they.

# Teri Rehmat Teri Ne'amat Par
Mera Dawa Hai Ahmed e Noori.
Noor e Ahmed Mujhko Bhi Chamkade.
Naam Tera Hai Ahmed e Noorie

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No.373 - 374.

Hadees e Mubaraka #735

GUNAAH KITNE HI AUR KAISE HI HAIÑ PAR REHMAT E AALAM
SHAFA'AT AAP FARMAAYEIÑ TOH BEDA PAAR HO JAAE


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 735
9 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Anas رضي الله عنه se riwayat hai Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ ke qayamat ki nishaniyañ yeh hai ki ilm uthaa liya jaaega, jahaalat zyada hogi,zinaa karna aur sharaab peena bohot hoga. Mard kam honge aur aurte zyada ho jaaengi yahañ tak ki mard ki dekh bhaal mein pachaas aurteiñ hogi.

#Bukhari Sharif
#Muslim Sharif.