Saturday, October 1, 2016

Hadees e Mubaraka #750

WAHI HAI AWWAL WAHI HAI AAKHIR
WAHI HAI BAATIN WAHI HAI ZAAHIR
USI KE JALWE USI SE MILNE USI SE USKI TARAF GAYE THE

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 750
24 Rajjab 1437 Hijri.

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ Maiñe apne Rab ko apni aankh aur apne dil se dekha.

#Muslim Shareef

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #749.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #749.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 143

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur tum to maut ki tamanna kiya karte the uske milne se pehle to abh woh tumhe nazar aayi aankhoñ ke saamne.

▶ Tafseer
▶ Shaane Nuzool jabh shohdaa e Badr ke darje aur martabe aur un par Allah Ta'ala ke inaam wa ehsaan bayaan farmaye gaye to jo musalman wahañ haazir na the unhein hasrat huwi aur unhone aarzu ki ke kaash kisi jihaad mein unhein haazri mayassar aaye aur shahadat ke darjaat mile unhi logoñ ne Huzoor Sayyade Aalam ﷺ se Uhad par jaane ke liye israar kiya tha unke haq mein yeh Aayat naazil huwi.

Bahar e Shar'iat Mayyat ke Masaail #749

Bahar e Shar'iat.
Mayyat ke masaail #749.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


● Masla - Mayyat ko kafan dena farz e kifaya hai agar kisi ne kafan nahi diya toh jis jis ko maloom tha sab gunaahgaar huwe kafan ke teen darje hai,
1) Zaroorat
2) Kifayat
3) Sunnat

Mard ke liye sunnat teen kapde hai,
1) Izaar
2) Lifaafa
3) Kameez
Aur aurat ke liye paanch kapde sunnat hai.
1) Izaar
2) Lifaafa
3) kameez
4) odhni
5) seena bandh,
kafan e kifayat mard ke liye do kapde hai lifaafa aur izaar aur aurat ke liye kafan e kifayat teen hai lifaafa, izaar, odhni ya lifaafa, kameez, odhni kafan e zaroorat dono ke liye yeh ki jo mayassar aaye aur kam az kam itna toh ho ki saara badan dhak jaaye.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #749

HIJAAB UTHNE MEIÑ LAAKHOÑ PARDE
HAR EK PARDE MEIÑ LAAKHOÑ JALWE
AJAB GHADI THI KE WASL O FURQAT
JANAM KE BICHHDE GALEY MILE THE

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 749
23 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Ikramah رضي الله عنه bayan farmate hai ke Sayyeduna Abdullah ibn Abbas رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ ne apne Rab ka deedar kiya, Maiñe arz kiya Allah Ta'ala ne yeh nahi farmaya nigaahen uska ihaata nahi kar sakti aur woh nigaahoñ ma idraak o ihaata karta hai?

Hazrat e Abdullah ibn Abbas رضي الله عنه ne farmaya tum par Tajjub hai! jabh Allah apne uss Noor ke saath Tajjalli farmaye jo uska gair mutanaahi Noor hai aur beshak Rasoolullah ﷺ ne apne Rabka do (2) martaba deedar kiya.

#Tirmizi Shareef.
#Umdatul Qari Sharah Bukhari.
#Tafseer Ibn e Kaseer.
#Subul ul Huda Warrishad.
#Mustadrak Ala Assahihain.
#Musnad Ahmad Mu'jam e Kabeer.
#Tafseer Ibn Abi Haatim.
#Surah An'aam.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #748.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #748.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 142.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Kya is gumaan mein ho ki jannat mein chale jaoge aur abhi Allah ne tumhare gaaziyoñ ka imtihaan na liya aur na sabr waloñ ki aazmayish ki.

▶ Tafseer
▶ Ki Allah ki Raza ke liye kaise sakht zakhm khaate aur takleef uthaate hai ismein un par aitaab hai jo roze Uhad kuffar ke muqable se bhaage.

Bahar e Shar'iat Mayyat ke Masaail #748

Bahar e Shar'iat.
Mayyat ke masaail #748.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Mayyat ko nehlaana farz e kifaaya hai baaz logoñ ne gusl de diya toh sab se saqit hogaya.

● Masla- Ek martaba saare badan par paani behna farz hai aur teen martaba sunnat jahañ gusl de mustahab yeh hai ki parda karle ki siva nehlaane waloñ aur madadgaaro ke doosra na dekhe nehlaate waqt khwaah uss tarah litaaye jaise kabr mein rakhte hai ya qibla ki taraf pau karke ya jo aasaan ho kare.

● Masla - Aurat inteqal kar jaaye toh shohar ussey na nehla sakta hai na chu sakta hai aur dekhne ki manahi nahi awaam mein jo yeh mashoor hai shauhar aurat ke janaze ko na kandha de sakta hai na kabr mein utaar sakta hai na muñh dekh sakta hai yeh mehaz ghalat hai sirf nehlaane aur uske badan ko bila ha'il yaani bagair kisi kapde wagaira ki aad ke haath lagane ki manahi hai.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #748

TU BADHA ITNA KE MEA'RAJ MEIN RAB TAK PAHUCHA
KEH RAHA HAI YEH DANA AUR TAD'ALA TERA


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 748
22 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Ibn e Abbas رضي الله عنه riwayat farmate hai Allah Ta'ala ne Hazrat e Ibrahim علیہ السلام ko khullat aur Hazrat e Moosa علیہ السلام ko kalam aur Sayyeduna Muhammadur RasoolAllah ﷺ ko apne deedar se imtiyaz baksha.

#Tirmizi Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #747.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #747.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 141.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur isliye ki Allah musalmano ka nikhaar kar de .
2⃣ Aur kaafiroñ ko mitaa de.

▶ Tafseer
1⃣ Aur unhein gunahoñ se paak kar de.
2⃣ Yaani kaafiro se jo musalmano ko takleef pahunchti hai woh to musalmano ke liye shahadat o tatheer hai aur musalman jo kuffar ko qatl kare to yeh kuffar ki barbaadi aur unka istisaal hai.

Bahar e Shar'iat Mayyat ke Masaail #747

Bahar e Shar'iat
Mayyat ke masaail #747.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

● Masla - jabh usne kalima padh liya toh talkeen mauqoof kardein haan agar kalima padhne ke baad usne koi baat ki toh phir talkeen kare ki uska akhrir kalaam لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ صلى الله تعالى عليه واله وسلمَ ho.

● Masla - jabh rooh nikal jaaye toh ek chaudi patti jabde ke neeche se sar par le jakar girah de dein ki muñh khula na rahe aur ankhein band kardi jaaye aur ungliya aur haath pau seedhe kar diye jaaye yeh kaam uske ghar waaloñ mein jo zyada narmi ke saath kar sakta ho baap ya beta woh kare uske peit par loha ya gili mitti ya aur koi bhaari cheez rakhde ki peit ful na jaaye magar zaroorat se zyada wazni na ho ki takleef ki wajeh ho.

●Masla - mayyat ke saare badan ko kisi kapde se chupa de aur usko chaarpai ya takht wagaira kisi uñchi cheez par rakhe ki zameen ki seel na pahuche.

● Masla - gusl wa kafn wa dafn mein jaldi karna chahiye ki hadees mein iski bohet takeed aayi.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #747

ISS MUBARAK MAHINE MEIN AATI HAI AISI EK RAAT
KARLO IBAADAT DIL LAGA KAR AUR PAAO SAB GHAM SE NAJ'AAT


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 747
21 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Anas رضي الله عنه se riwayat farmate hai Rajjab mein ek raat aisi hai jisme amal karne waale ko sau (100) saal ki ibadat ka sawab diya jaata hai, aur woh maah e rajjab ke khatm hone se teen din pehle 27vi rajjab ki raat hai, pas jo koi iss raat mein baraah (12) rakat iss tarah padhe ke har rakat mein Surah Fatiha ke baad aur koi Surah padhe aur har do (2) rakat mein tasshahud padhe aur aakhri rakat mein salam phairey aur phir 'SubhanAllahi Wal Hamdulillahi Wa La
Ila'aha Il'Allahu WAllahu Akbar' sau (100) martaba aur 'Astagfirullah Rabbi Min Qulli Zambiyuñ Wa At'tubu Ilaih' sau (100) martaba aur sau (100) martaba Darood Shareef padh kar apne dunyawi aur ukhrawi amoor ki takmeel ke liye dua maange aur phir subah ko roza rakhe to Allah Ta'ala uski tamam duaeiñ qabool karega, siwa iske ke woh kisi khilaaf e sharai kaam ke liye dua karey.

#Shob ul Imaan, Baab fil Sayaam, Taqsees Sahar e Rajjab Bal Zikr, Hadees No 3812.

>>Note - jis shakhs ke zimme qaza namaazein ho, woh pehle qaza namaazeiñ adaa karey uske
baad deegar nafli ibadat mein mashgool hone se behtar yeh amal hai ke faraiz ki adaaegi.