Monday, March 28, 2016

Hadees e Mubaraka #635

APNE KHATA WAAROÑ KO APNE HI DAAMAN MEIN LO
KAUN KARE YEH BHALAA TUM PE KAROROÑ DAROOD

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #635.
27 Rabi Un Noor 1437 Hijri.

Huzoor Shaafi e Mehshar ﷺ irshad farmate haiñ roz e qayamat Hauz_e_Kausar par Mere paas aisi qaumein aaengi jinko Maiñ mahaz unke kasrat e Darood se pehchanta hu.

#Dalail_Ul_Khairat_Shareef

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e khazaain ul Irfaan #634

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #634

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 3 & 4

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Usne tum par yeh sacchi kitaab utaari agli kitaboñ ki tasdeeq farmati aur usne isse pehle tauret aur injeel utaari.
2⃣ Logoñ ko raah dikhati aur faisla utaara beshak woh jo Allah ki Aayatoñ se munkir huwe unke liye sakht azaab hai aur Allah gaalib badla lene wala hai.

▶ Tafseer
▶ Isme wafd e nazraan ke nasraani bhi daakhil hai.

Nabi e Kareem ﷺ ki Batayi huwi Duaein #634

Nabi e Kareem ﷺ ki Batayi huwi Duaein #634.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Musibat par Ne'amul bad'al milne ki Dua.

▶ Hazrat e Umme Salma رضي الله عنها riwayat farmati hai Maine Huzoor e Aqdas ﷺ ko irshad farmate suna tha ke kisi musalman ko koi takleef pahuche to woh yeh dua parhle to Allah ﷻ uss musalman ko zaaya e shuda cheez se behtar cheez ataa farmaaega.

▶ Hazrat e Umme Salma رضي الله عنها farmati hai ke jabh mere shohar Hazrat e Abu Salma رضي الله عنه ka inteqaal ho gaya maine (dil mein) kaha ki bhala Abu Salma رضي الله عنه se behtar kaun musalman hoga.

Lekin phir Maiñe iss dua ko parh liya to Allah ﷻ ne mujhe Abu Salma رضي الله عنه se behtar shohar ataa farmaya ke Rasool e Qaunain ﷺ ne mujhse nikah farma liya.

# Muslim Shareef, Jild 1, Safah 300.

▶ Inna Lillahi wa Inna Ilaihi Ra'ajioon Allahumma Ajirni fi musibati wakh-lif lee khair-am-minha.

Hadees e Mubaraka #634

SUNLO AUR DUSRO KO SUNAWO
HUZOOR ﷺ KA YE FARMAN
JANNAT KI TARAF BARHTE JAO
AUR BARHAO APNA IMAAN

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #634.
26 Rabi Un Noor 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Amaama رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Sarwar e kaunain ﷺ irshad farmate haiñ aye logoñ jaanlo ke mere baad koi Nabi nahi aur naa hi tumhare baad koi aur ummat hai. Khabardaar! Sirf apne Rab ki hi ibadat karo, aur apni paanch (5) farz namaazein adaa karo, aur apne maah (ramzaan) ke roze rakho, dili razamandi ke saath apne amwaal ki zakaat adaa karo, aur apne aadil hukmaraano ki ita'at karo, to tum apne Rab ki Jannat mein daakhil ho jaaoge.

# Tabraani Shareef, Hadees No 8030.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #633

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #633.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 1 & 2

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aleef Laam Meem
2⃣ Allah hai jiske siwa kisi ki pooja nahi aap zinda auroñ ko qayam rakhne wala.

▶ Tafseer
▶ Surah Aale Imran Madina Tayyabah mein naazil huwi isme 200 Aayate 3480 kalime 14520 huroof hai.
2⃣ Shaane nuzool mufassireen ne farmaya ki yeh Aayat wafde nazraan ke haq mein naazil huwi jo 60 sawaro par mushtamil tha uske 14 sardar the aur 3 us qaum ke bade akabir wa muqtada ek aaqib jiska naam Abdul masih thaw o shakhs ameere qaum tha aur baghair uski raaye ke nasara koi kaam na karte the Dusra Sayyed jiska naam Aehma thaw o shakhs apni qaum ka mo'atamade aazam aur maaliyaat ka afsare aala tha Khurdo nosh aur rasado ke tamaam intezamat usi ke hukm se hote the teesra Abu Hareesa Ibne Alqama tha ye shakhs nasara ke tamam aulma aur paadriyon ka peshwaye aazam tha salateene Room uske ilm aur uski deeni azmat ke lihaaz se uska iqraam wa adab karte the ye tamam log umda aur keemti poshak pehen kar badi shaan wa shikoh se Huzoor Sayyade Aalam ﷺ se munazra karne ke kasd se aaye aur masjide aqdas mein daakhil huwe Huzoor Sayyade Aalam ﷺ us waqt namaze asr adaa kar rahe the un logoñ ki namaz ka waqt bhi aa gaya aur unhone bhi masjid shareef hi mein jaanibe sharq mutawajjah ho kar Namaz shuru kar di faraag ke baad Huzoore Aqdas ﷺ se guftagu shuru ki Huzoor ﷺ ne farmaya tum Islam laao kehne lage hum Aap se pehle Islaam laa chuke Huzoor ﷺ ne farmaya yeh galat hai yeh daawa jhoota hai tumhe Islaam se tumhara ye daawa rokta hai ki Allah ke aulaad hai tumhari saleeb parasti rokti hai aur tumhara khinzeer khana rokta hai. Unhone kaha ki agar Isaa Khuda ke bete na ho to bataiye unka Baap kaun hai? aur sab ke sab bolne lage Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya kya tum nahi jaante ki beta baap se zarur mushabah hota hai unhone iqraar kiya phir
farmaya kya tum nahi jaante ki hamara Rab "Hayyun Laayamut " hai uske liye maut muhaal hai aur Isaa par maut aane wali hai unhone iska bhi iqraar kiya phir farmaya kya tum nahi jaante ki Hamara Rab bando ka kaarsaaz aur unka haafize haqeeqi aur rozi dene wala hai unhone kaha haañ Huzoor ﷺ ne farmaya kya Hazrate Isaa bhi aise hi hai kehne lage nahi farmaya kya tum nahi jaante ki Allah Ta'ala par Aasman wa zameen ki koi cheez poshida nahi unhone iqraar kiya Huzoor ﷺ ne farmaya ki Hazrate Isaa Baghair taalime Ilaahi usme se kuch nahi jaante hai unhone kaha nahi Huzoor ﷺ ne farmaya kya tum nahi jaante ki Hazrate Isaa hamal mein rahe paida hone walo ki tarah paida huwa baccho ki tarah gizza diye gaye khaate pite the awarize bashari rakhte the unhone iska iqraar kiya Huzoor ﷺ farmaya phir woh kaise Ilaah ho sakte hai jaisa ki tumhara gumaan hai is par sab saaqit reh gaye aur unse koi jawab ban na aaya is par Surah Aale Imraan ki awwal se kuchh upar 80 aayate naazil huwi.
▶ Fayeda - Sifaate Ilahiya mein Hayya ba-maana daayeem baaki ke hai yaani aisa hameshgi rakhne wala jiski maut mumkin na ho qayyum woh hai jo qayeem bizzaat ho aur khalq apni duniyawi aur ukhrawi zindagi mein jo rakhti hai uski tadbeer farmaye.

Nabi e Kareem ﷺ ki Batayi huwi Duaein #633

Nabi e Kareem ﷺ ki Batayi huwi Duaein #633.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩Har Balaa se Naja'at ki dua.

▶ Huzoor e Aqdas ﷺ ne irshad farmaya ke jo shakhsh subah shaam ko 3 martaba ye dua padhe to usko duniya ki koi cheez nuksaan nahi pahuchaegi.

#Tirmizi Shareef, Jild 2, Safah 173.

▶ Bismillahil lazee laa-ya-zurru ma'-as-mihi Shaioon fil arzi wala fis samaae wa huvas sameeul aleem.

⏩ Note : Har Wazaeef aur Dua se fayda tabhi haasil hoga jabh insan namaz ki pabandi kare bagair namaz ke sirf wazaeef ya dua ka amal akseer nahi.

Hadees e Mubaraka #633

TU ZINDA HAI WALLAH TU ZINDA HAI WALLAH MERI CHASHME AALAM SE CHHUP JAANE WAALE

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #633.
25 Rabi Un Noor 1437 Hijri.

Hazrat e Abu darda رضي الله عنه se riwayat haiñ Nabi e Kareem ﷺ ne irshad farmaya ki khuda e Ta'ala ne zameen par nabiyoñ ke jismo ko khaana haraam farma diya hai. lihaza Allah ﷻ ke Nabi zinda haiñ rozi diye jaate hai.

#Ibn e Majah.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #632

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 632.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 286

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Allah kisi jaan par bojh nahi daalta magar uski taakat bhar uska fayda hai jo accha kamaya aur uska nuksaan hai jo burayi kamayi.
2⃣ Aye Rab hamare humein na pakad agar hum bhoole ya chuke, Aye Rab hamare aur hum par bhaari bojh na rakh jaisa tune humse agloñ par rakha tha Aye Rab hamare aur hum par woh bojh na daal jiski humein sahaar ( bardasht ) na ho aur humein maaf farma de aur bakhsh de, aur hum par mohar kar tu hamara Maula hai tu kaafiroñ par humein madad de.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani har jaan ko Amale neik ka ajr wa sawaab aur amale bad ka azaab wa aikaab hoga uske baad Allah Ta'ala ne Apne momin bandoñ ko tareeke dua ki talkeen farmayi ki woh is tarah apne parwardigaar se arz kare.
2⃣ Aur sahw se tara kisi hukm ki taamil mein kaasir rahe.

الحمد لله رب العالمين
Surah Baqrah Shareef muqammal huwa.

Habeeb e Khuda MuhammeduRasoolAllah ﷺ ke Mo'ajizat #632

Habeeb e Khuda Muhammedur RasoolAllah ﷺ ke Mo'ajizat #632.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Hazrat e Anas رضي الله عنه kehte hai ke maine kisi resham ko Huzoor ﷺ ki hatheliyo se narm wa nazuk nahi paaya jiss shakhsh se Huzoor ﷺ musafah farmate woh din bhar apne haathoñ ko khushbudaar paata.
▶Hazrat e Jabir bin Samura رضي الله عنه ka bayan hai ke maine Huzoor ﷺ ke saath namaz e zohr adaa ki phir aap apne ghar ki taraf ravana huwe aur maiñ bhi aap ke saath hi nikla, Sarvar e kainaat ﷺ ko dekh kar chhote chhote bacche aap ki taraf daud pade to unn mein se har ek ke rukhsar(Gaal) par aap apna dast e rehmat phairne lage maiñ samne aaya to mere rukhsar par bhi aap ne apna dast e rehmat laga diya to maiñe apne gaaloñ par Sarkar ﷺ ke dast e rehmat ki thandak mehsus ki aur aisi khushboo aayi ke goya aap ne apna haath kisi itr ki sandook se nikala ho.

#Muslim Shareef, Jild 2, Safah 256

#Unhiñ ki boo maaya e saman hai unhiñ ka jalwa chaman chaman hai,
Unhiñ se gulshan mahek rahe haiñ unhiñ ki rangat gulaab meiñ hai.

# Unki Mahek ne dil ke guñche khila diye haiñ,
Jis Raah Chal gaye haiñ kooche basaa diye haiñ.

# Koocha koocha meiñ mahekti hai yahaañ boo e qamees,
Yusufistaan hai har ek gosha e kan'aan e Arab.

Hadees e Mubaraka #632

APNI NEKIYO KO HASAD SE NAA MITAAO
ACCHE AAMAAL KO BURAAI SE BACHAAO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #632.
24 Rabi Un Noor 1437 Hijri.

Hazrat e Abu hurairah رضي الله عنه se riwayat haiñ ki Nabi e Kareemﷺ ne irshad farmaya ki hasad aur jalan se apne aap ko bachaao isliye ki hasad nekiyoñ ko is tarha khaa jaata hai jis tarha aag lakdi ko.

#Abu dawood, Jild 2, Safah 316.