Saturday, April 2, 2016

Hadees e Mubaraka #699

YA ILAAHI LE CHALE JABH DAFN KARNE KE LIYE
GAUS E AAZAM PESHWA IMAM UL AULIYA KA SAATH HO

بسمالله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 699
2 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Rasool e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ ki janaze ko le jaane mein jaldi karo isliye ki agar woh neik aadmi ka janaza hai toh usse acche ghar ki taraf jald pahuchana chahiye aur agar bure ka janaza hai toh apni gardano se jald utaar dena chahiye.

#Bukhari Shareef.
#Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #698

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #698.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 03 Ruku - 16
Aayat No. 78.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur un mein kuch woh hai jo zaban pheir kar kitab mein meil karte hai ki tum samjho yeh bhi kitab mein hai aur woh kitab mein nahi aur woh kehte hai yeh Allah ke paas se hai aur woh Allah ke paas se nahi aur Allah par deeda wa daanista jhoot baandhte hai.

▶ Tafseer
▶ Shaane Nuzool Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنهما ne farmaya ki ye Aayat yahood wa nasaara dono ke haq mein naazil huwi ki unhone Tauret wa Injeel ki tahreef ki aur Kitabullah mein apni taraf se jo chaaha milaya.

Imaan aur kufr ka bayaan #698

Bahar e Shari'at
Imaan aur kufr ka bayaan #698.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Imaan isse kehte hai ki sacche dil se un tamaam baatoñ ki tasdeek kare jo deen ki zarooriyat mein se hai, aur kisi ek zaroori deeni cheez ke inkaar ko kufr kehte hai agarche baaki tamaam zarooriyat ko haq aur sach maanta ho matlab yeh ki agar koi saari zaroori deeni baatoñ ko maanta ho lekin kisi ek ka inkaar kar baitha toh agar jihalat aur nadaani ki wajeh se hai toh kufr hai aur jaan bujhkar inkaar kare toh kaafir hai. Deen ki zarooriyat mein woh baatein hai jinko har khaas aur aam log jaante ho jaise Allah Ta'ala ki wahdaniyat yaani Allah Ta'ala ko ek manna, Nabiyon ki Nabuwat, Jannat, Dozakh, Hashr, Nashr wagaira.

Misaal ke taur par eatikaad rakhta ho ki Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ Khatimun Nabbiyeen hai yaani Huzoor ﷺ ke baad abh koi naya Nabi kabhi nahi aaega.

▶ Musalman hone ke liye yeh bhi zaroori shart hai ki zubaan se kisi aisi cheez ka inkaar na kare jo deen ki zarooriyat se hai agarche baaki baatoñ ka ikraar karta ho aur agar koi yeh kahe ki sirf zubaan se inkaar hai aur dil mein inkaar nahi toh woh bhi musalman nahi kyuki bina kisi khaas sharayi majboori ke koi musalman kufr ka kalima nikaal hi nahi sakta isiliye ki aisi baat wahi muñh par la sakta hai jiske dil mein islaam aur deen ki itni hi jagah ho ki jabh chaha inkaar kar diya aur islaam aisi tasdeek ka naam hai jiske khilaaf hargiz koi gunjaish nahi.

Hadees e Mubaraka #698

SOOD HALAAL NAHI HAI MUSALMAANO
NABI E AKRAM ﷺ KA FARMAAN BAGAUR SUNLO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #698.
01 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Sarkar e Aqdas ﷺ irshad farmate haiñ ke sõod aise sattar (70) gunaho ke barabar hai jin mein sabse kam darje ka gunaah yeh hai ki mard apni maa se zinaa kare.

#Ibne Maajha Shareef.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #697

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #697.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 696.
Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 01
Aayat No. 76 & 77

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ Aakhirat mein unka kuch hissa nahi aur Allah na unse baat kare aur na unki taraf nazar farmaye qiyamat ke din aur na unhein paak kare aur unke liye dardnaak azaab hai.

▶ Tafseer
2⃣ Muslim Shareef ki hadees mein hai Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya 3 log aise hai ki roze qiyamat Allah Ta'ala na unse kalaam farmaye aur na unki taraf nazre rehmat kare na unhein gunahoñ se paak kare aur unhe dardnaak azaab hai uske baad Sayyade Aalam ﷺ ne is aayat ko 3 martaba padha Hazrat Abuzar raawi ne kaha ki woh log tote aur nuksan mein rahe Yaa Rasoollullah ﷺ wo kaun log hai Huzoor ﷺ ne farmaya izaar ko takhno se niche latkane wala aur ehsaan jatane wala aur apni tijarati maal ko jhooti kasam se riwaz dene wala Hazrat Abu Amama ki Hadees mein hai Sayyade Aalam ﷺ ne irshada farmaya jo kisi musalman ka haq maarne ke liye kasam khaaye Allah us par jannat haraam karta hai aur dozakh laazim karta hai Sahaba ne arz kiya Yaa Rasoollullah ﷺ agarche thodi hi cheez ho farmaya agarche babul ki shaakh hi kyuñ na ho.

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #697

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #697.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sarkar Gaus e Aazam رضي الله عنه ne apne zaahiri wisal se kuch dino pehle hi apne ghar waloñ ko bata diya ke abh meri wafat ka zamana kareeb aa gaya hai uske baad Aap beemar huwe aur 2 mahine tak Aap musalsal beemar rahe.

Jis raat Aapka zahiri wisal huwa uss din aapne farmaya tum par afsos hai mere muta'allik tumhara kya khayal hai Main naa kisi insan se darta hu naa jinn se naa malakul maut se naa kisi aur cheez se aye malakul maut mujhe uss zaat ki bargah mein pahucha do jo mujhko dost rakhta hai aur mere tamam kaamo ka waali hai yaani Rabb e Kareem ki bargah mein.

Aapne farmaya tum par salamati ho aur Allah ﷻ ki rehmate ho aur barkate nazil ho sacche dil se tauba karo aur sawaad e azam (yeh woh badi jama'at jo Sahaba aur Auliya ke taabe hai) mein dakhil ho jaao issi maqsad ke liye Maiñ aaya hu taaki tum ko Nabi e Kareem ﷺ ki itteba ka hukm du aur farmaya narmi karo.

Iske baad Aapne teen martaba Allah Allah Allah kaha phir "La Ilaha Il Allah Muhammed ur Rasool Allah ﷺ" parha aur zaban e mubarak talu se chipak gayi aawaz kamzor hogayi aur rooh e aqdas jism e paak se parvaaz ho gayi.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥ

Aap ke bade shehzade Hazrat Saiyyad Shah Abdul Wahab رضي الله عنه ne Aapki namaz e janaza padhayi aur Madrasa Jamia Qadiriya mein Aapko dafn farmaya gaya Baghdad Shareef mein aaj bhi Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ka Mazar e Anwar awaam wa khawaas ke liye faiz dene wala hai aur subhe qayamat tak log faiz hasil karenge إِنْ شَاءَ اللَّهُ تعالیٰ

#Humare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Shah e Jeelan ki chaukhat salamat rahe taa qayamat rahey,
Naqsh e paa ka chaman pur karaamat rahe taa qayamat rahey.

Hadees e Mubaraka #697

CHHUP KE LOGOÑ SE KIYE JIS KE GUNAAH
WOH KHABARDAAR HAI KYA HONA HAI
AREY O MUJRIM E BE PARWAA DEKH
SAR PE TALWAAR HAI KYA HONA HAI

بسمالله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 697
29 Jamadil Awwal 1437 Hijri.

Hazrat Ibne Masood رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ ki jab banda jhuth bolta hai toh uski badbu se farishta ek mil dur hatt jaata hai.

#Tirmizi Sharif.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #696

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #696.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 01
Aayat No. 76 & 77

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Haañ kyuñ nahi jisne apna Ahad poora kiya aur parhezgaari ki aur beshak parhezgaar Allah ko khush aate hai ○ Woh Allah ke ahad aur apni kasamo ke badal zaleel daam lete hai.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane nuzool yeh Aayat yahood ke ahbaar aur unke ro'asa abu raafe wa kanana bin abeel-haqeeq aur ka'ab bin ashraf wahayi bin akhtab ke haq mein naazil huwi jinhone Allah Ta'ala ka woh ahad chhupaya tha jo Sayyade Aalam ﷺ par imaan laane ke muta'alliq unse Tauret mein liya gaya unhone usko badal diya aur bazaaye uske Apne haatho se kuch ka kuch likh diya aur jhooti kasam khayi ki yeh Allah ki taraf se hai aur yeh sab kuch unhone apni jamaat ke jaahilo se rishwate aur zar haasil karne ke liye kiya.

〰〰 to be contd.

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam#696

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #696.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Khaane peene se be niyaaz karna.

Naqal hai ki Shaikh Aarif Sabati رحمة الله عليه ne kaha ki maiñ Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki ziyarat ke liye Baghdaad Shareef aaya aur kuch din Aap ki khidmat-e-Aqdas mein thehra phir Aapne mujahida karne ke liye Misr jaane ka iraada kiya aur Aapse ijazat maangi yeh keh kar Aapne mere muñh mein do ungliya daali aur mujhe usse chusne ka hukm diya maiñ samajh gaya ki isse Aapka kya maqsad hai phir maiñ Baghdaad Shareef se Misr aaya aur meri haalat yeh thi ki na khaata tha na peetha tha iske bawajood meri taakat pehle ki nisbat zyada thi.

#Bahjatul Asraar, Safah 109.
# Tafrihul Khaatir, Safah 120.

▶ Tashreeh - Doctori lihaaj se insan agar kuch din na khaye aur na piye to intehaayi kamzor aur beemar ho jata hai aur uske jism ka nizaam sakht muta'asir hota hai jaisa ki taye hai roze yani baghair iftaar ke lagatar roze rakhne se sahaba e kiraam رضي الله عنهم behosh hone lage tabh Sayyade Aalam ﷺ ne unhe mana farmaya kyuñ ki sahaba e kiraam رضي الله عنهم ne Aap ﷺ ko taye ke roze rakhte dekh kar khud hu baghair hukm ke roze rakhna shuru kar diya tha. Upar diye gaye waqiye mein yeh karamat thi Shahanshaahe Awliya Sayyiduna Gause Aazam رضي الله عنه ki karamat se Shaikh Aarif Sabati رحمة الله عليه khaane peene se be niyaaz ho gaye.

Ahad se Ahmed aur Ahmed se Tujh ko ..
Kun aur sab kun makun haasil hai Ya Gaus .

Hadees e Mubaraka #696

KHAYA PIYA AUR PEHNA ACCHOÑ SE RAHA ACCHA
KUCH DEEN KA BHI KARLE DUNIYA KA HAI KYA KARNA

بسمالله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 696
28 Jamadil Awwal 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Sarwar e Qaunain ﷺ irshad farmate haiñ ke jis badan ko haraam khuraak di gayi woh jannat mein na jaaega.

#Baihaki Shareef.
#Mishkat Shareef.