Saturday, February 14, 2015

Shaan E Siddeeq E Akbar Kanzul Imaan group post #1 day 3

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah

Shaan e Siddique e Akbar رضي الله تعالیٰ عنه

Imaam E Jafar Sadiq رضي الله تعالیٰ عنه farmate hai Meine  walid Imaam E Baakir رضي الله تعالیٰ عنه Se Suna Imaam Baaqir Farmate hai meine Apne Walid Zainul Aabedeen رضي الله تعالیٰ عنه Se Suna  Imaam e Zainul Aabedeen Kehte hai Meine Apne Walid Imaam e HUSSEIN رضي الله تعالیٰ عنه se suna  Imaam E Hussein Farmate hai Meine Apne Walid Hazrat E Ali رضي الله تعالیٰ عنه Se Suna.


Hazrat e Ali Farmate hai meine Apne Samne Is baat ko Dekha Ke Sarkaar ﷺ Ke saath Hum Tashrif Le Ja Rahe they Hazrat e Abu Darda رضي الله عنه, Hazrat e Abu Babr رضي الله عنهSe Aage Chal rahe they Sarkaar ﷺ ne Dekha Toh Farmaya Pichhe Ho jao Abu Bakr Se, Aur Suno Yeh Woh hai Ambiya Ke Baad yeh Sabse Behtareen Shakhs hai Aur Baad E Ambiya Koi Inse Afzal Nahi ke Jis Par Kabhi SURAJ tulu Huwa ho.

Ref - Assawaherul Moharrika 

Riyadul Nudara

Hadeeth Shareef of the day. Post #4 day 2

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah



Tajdare Ambiya ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Meri Ummat Me Se Ek Aadmi Ko Qayamat Ke Din Laya Jayega.
Uske Gunaaho Ke 99 Daftar Khole Jayenge. Unme Se Har Daftar Hadde Nigah Tak Wasee Hoga.

Allah Tabarak Ta'ala Puchega Tum Inme Se Kisi Cheez Ka Inkaar Karte Ho Woh Kahega Nahi. 

Allah Tabarak Ta'ala Farmayega Kya Mere Farishto Ne Tum Par Koi Zyadati Toh Nahi Ki, Woh Kahega Nahi Mere Rabb. 

Allah Tabarak Ta'ala Farmayega Aaj Tum Par Koi Zulm Na Hoga. 

Mere Pass Tumhari Ek Neki Hai, Phir Ek Parchi Nikali Jayegi Jiss Par Dusra Kalma E Shahdat Likha Hoga. 

Woh Banda Arz Karega Aye Mere Rabb Yeh Ek Parchi Un Daftaro Ke Samne Kya Waqar Rakhti Hai. 

Allah Tabarak Ta'ala Farmayega Tum par aaj Kuch Zulm Na Hoga.

Woh Parchi Mizane Amal Me Neki Ke Palde Me Rakhi Jayegi Aur Neki Ka Palda Bhari Ho Jayega Aur Allah Tabarak Ta'ala Ke Naam Ke samne Koi Chiz Bhari Nahi Ho sakti.

Tirmezee Shareef 2648.
Ibne Maja 4300.
Al Mustadraq 1/529.

Tamheed E Imaan Kanzul Imaan Post #3 Day 2

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah


Book - TAMHEED E IMAAN #4
Writer - Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat رضي الله عنه

4)Tu na paayega unhe jo Imaan laate hai ALLAH AUR QAYAMAT PAR k unke dil me aison ki muhabbat aane paaye jinhone KHUDA AUR RASOOL ﷺ se mukhalifat ki, chaahe woh unke baap ya bete ya bhai ya azeez kyon na ho. ye hai woh log jinke dilon me ALLAH ne Imaan naqsh kar diya aur Apni taraf ki rooh se inki madad farmayi aur inhein baagon mein le jayega jinke neeche nehrein beh rahi hai, hamesha rahenge unmein, ALLAH inse raazi aur woh ALLAH se raazi yehi log ALLAHWALE hai Sunta hai ALLAHWALE hi muraad ko pahunche.
(surah mujadla,aakhri ayat) 

Iss aayat mein ALLAH bataa raha hai k tu Imaan rakhta hai,aakhirat par yaqeen hai  to tere dil mein aison ki muhabbat nahin aa sakti jinhone ALLAH WA RASOOL KI mukhalifat ki ho.phir ismein rishte gina diye (baap,bhai,bete,aur woh jin jin ko tu azeez rakhta hai). Abh farmaya jaa raha k meri muhabbat mein in rishton ki bhi tune parwaah nahin ki to tu woh hai k 

1)tujh mein Imaan naqsh kar diya gaya hai

2)Rooh e Quds se teri madad farmayega

3)hameshgi ki Jannat tera maqaam hoga

4)tu ALLAH ka giroh keh laayega,KHUDA wala ho jaayega.

5)munh maangi muraadein paayega

6)sabse zyaada k ALLAH tujhse raazi hoga

7)aur phir farmata hai k 'MAIN tujhse raazi tu MUJHSE raazi'.
Bande k liye isse zyada kya naimat hai k uska RAB usse raazi ho magar intihaaye banda nawazi ye k farmaya 

ALLAH UNSE RAAZI AUR WOH ALLAH SE RAAZI.


To Be Contd

Shaan E Siddeeq E Akbar Kanzul Imaan Post #1 Day 2

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah

SHAAN E SIDDIQUE E AKBAR رضي الله عنه Aap Ka Laqab SIDDIQUE IS Wazah se Hua KI RASOOLALLAH ﷺ Ki Tasdiq mai Aap ne Pahal ki or Tamaam Ahvaal Mai Huzur ﷺ Ki sadaqat pr Aap ne Tasdiq Ko lazeem Maana JAB huzur E paak ﷺ Mea'raj se Wapas Tashrif Laye or Subah Logo Se Iska Zikr Farmaya to Kamzor imaan wale Log Murtad Ho gye Par Hazrat e Siddique e Akbar رضي الله عنه ne Bila Hil wa Huzzat wakiya Me'raj KI tasdiq ki Lihaza ussi DIN se Aap ka Laqab Siddique MASHOOR hua Ref - MADARIJUN NABUVVAH VOL -2 Page 310

Kanzul Imaan Post #3 Day 1

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah


Surah Nazm Pehli Surah h Jiska Aailaan Wajibul Iza'an NABI E AKRAM SALALAHO ALAIHI WASALLAM ne Kiya Surah Nazm wo Pehli Surah hai Jis mai Aayat e Sajda Nazil Hui Aayat E Sajda IMAAM ko NAMAZ e Eidein va Jumma or Har WO Namaz Jis mai QIRAT Aahista ki jati hai Padhna Makrooh hai Ref - Al ATKAAN fi Ulumul Quraan VOL - 1 page 33 KHAZAINUL IRFAAN SURAH Nazm

Kanzul Imaan Post #2 Day 1

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah

KYA AAP JAANTE HAIN?

Hazrat Ali رضي الله عنه ek wahid aise sahaabi hai jinpar Garmi aur sardi ka koi asar nahi hota..

Kyun k Huzoor ﷺ ne unke liye duwa farmaae k woh garmi aur sardi se mehfooz rahe..

Aap ka yeh maamla tha ki garmi main sardi k aur sardi main garmi k kapde pehante the magar aapko garmi aur sardi kuch nuksaan na pahunchaati.
   
Ref:
MADARIJUN NABUVVAH 1/36
TAFSEER e NAEEMI 1/453

Hain Jiske Maula Huzoor Uss Ke Hain Ali Maula,
Abu Turaab Ka Rutba Huzoor Jaante Hain...

سُــــبْحانَ الله تعالیٰ ... سُــــبْحانَ الله تعالیٰ ...

Hadeeth Shareef of the Day Post #1 Day 1

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah

Hazrat e Abdullah ibn Umar رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor e Akram ﷺ irshad farmate hai. Islam ke 5 sutoon hai. 1 - Kalma. 2 - Namaz 3 - Zakat 4 - Hajj 5 - Maah e Ramzaan ke Rozey. Ref: #Sahih Bukhari Shareef aur Muslim Shareef

Sunday, February 1, 2015

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz Radiallahu Anh # 25

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah


Aap Ki Waleda Mohtarma Se Riwayat h Ki Jis Waqt Se Moinuddin Hasan   رضي الله عنه  K Jism Mubarak Mai Rooh Daali Gai Os Waqt Se Paidaish Tak Aap Ka Mamul Ye Raha ki Nisf Shab Se Din Chadhne Tak Aap Kalma e Taiyyaba

LA ILAHA ILLALAHO MUHAMMADUR RASOOLALLAH ﷺ Ka Zikr Farmaya Karte th

Or Mai Apne Kaano Se Aap K Zikr Ki Awaz Suna karti Thhi



Mazeed Aap Farmati h Ki Moinuddin Hasan  رضي الله عنه  Sulbe Pidar Se Mere Shikam Mai Muntaqil Hue to Allah Ta'ala Ne Khairo Barkat K Darwaze Khol Diye



Hamare Ghar Mai Khairo Barkat Ki Faraavani wa Kasrat Ho Gai Aur Hamara Dil Itminano Surur Se labrezo Ma'amoor Ho Gaya



# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه . Page No. 181