بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Book - TAMHEED E IMAAN #4
Writer - Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat رضي الله عنه
4)Tu na paayega unhe jo Imaan laate hai ALLAH AUR QAYAMAT PAR k unke dil me aison ki muhabbat aane paaye jinhone KHUDA AUR RASOOL ﷺ se mukhalifat ki, chaahe woh unke baap ya bete ya bhai ya azeez kyon na ho. ye hai woh log jinke dilon me ALLAH ne Imaan naqsh kar diya aur Apni taraf ki rooh se inki madad farmayi aur inhein baagon mein le jayega jinke neeche nehrein beh rahi hai, hamesha rahenge unmein, ALLAH inse raazi aur woh ALLAH se raazi yehi log ALLAHWALE hai Sunta hai ALLAHWALE hi muraad ko pahunche.
(surah mujadla,aakhri ayat)
Iss aayat mein ALLAH bataa raha hai k tu Imaan rakhta hai,aakhirat par yaqeen hai to tere dil mein aison ki muhabbat nahin aa sakti jinhone ALLAH WA RASOOL KI mukhalifat ki ho.phir ismein rishte gina diye (baap,bhai,bete,aur woh jin jin ko tu azeez rakhta hai). Abh farmaya jaa raha k meri muhabbat mein in rishton ki bhi tune parwaah nahin ki to tu woh hai k
1)tujh mein Imaan naqsh kar diya gaya hai
2)Rooh e Quds se teri madad farmayega
3)hameshgi ki Jannat tera maqaam hoga
4)tu ALLAH ka giroh keh laayega,KHUDA wala ho jaayega.
5)munh maangi muraadein paayega
6)sabse zyaada k ALLAH tujhse raazi hoga
7)aur phir farmata hai k 'MAIN tujhse raazi tu MUJHSE raazi'.
Bande k liye isse zyada kya naimat hai k uska RAB usse raazi ho magar intihaaye banda nawazi ye k farmaya
ALLAH UNSE RAAZI AUR WOH ALLAH SE RAAZI.
To Be Contd
0 comments:
Post a Comment