Friday, March 27, 2015

Ahadees e Mubaraka 175

SHARE


 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah

Hazrat e Abdullah Ibne Abbas رضي الله عنه se riwayat haiñ Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ jabh Hazrat e Ibrahim علیہ سلاام Khaana e Kaaba ki tameer muqammal kar liye to Allah Ta'ala ki bargaah mein marooza kiye Ilaahi maine tameer muqammal kar li hai tabh Allah Ta'ala ne hukm farmaya "Logon mein hajj ka ailaan karo" Unhone arz ki Ilaahi meri aawaz kaise pahuchegi.?

Allah ﷻ irshad farmaya aawaz dena tumhara kaam hai aur ussey pahuchana humare zimme hai. Hazrat Ibrahim علیہ سلاام ne arz ki Ilaahi main kin kalimaat se ailaan karu.? Allah ﷻ irshad farmaya iss tarah karo 'aye logon tum par hajj farz kiya gaya mu'azzaz aur mukkaram ghar Kaabatullah ka hajj tum par farz kiya gaya'.

Toh zameen aur aasmaan ke darmiyan jitni makhlooq thi sabne aapki aawaz suni yahi wajah hai ke tum dekhte ho ke hujjaj zameen ke koney koney se Labbaik Labbaik kehte huwe hajj ke liye aate hai.

# Al Mustadrak Al Saheeheen Lil Haakim Hadees No 3421.
 

0 comments:

Post a Comment