بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Ahadees e Mubaraka
Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai ki Sarkar e Aqdas ﷺ irshad farmate hai.
"Jab maal e ganimat sirf maaldaaro ki daulat ko thehrayi jaaye,
amaanat ko maal e ganimat aur zakaat ko jurmaana samjha jaaye,
Jab ilm ko deen ke liye na parha jaaye, mard
apni aurat ki farmabardari aur maa ki naa farmani kare,
Jab aadmi apne doston se kareeb honge aur
apne baap ko durr karega,
Jab masjid me shor machaya jayega, Qaum ka
sardar unmein ka be-amal hoga. Aur jab qaum ka sadar unmein ka kameena aadmi
hoga. Aur aadmi ki izzat unki buraaiyon se bachne ke liye ki jaaegi.
Jabh gaane wali auratein aur tarah tarah ke
baaje zaahir honge, Sar e aam sharaab pi jaaegi.
Aur jab ummat ke pichle log aglon ko bura
kahege to tum in cheezon ka intezaar karna.
Laal aandhi, bhuchaal, zameen mein dhasna,
sooratein bigadna, pattharon ka barasna, aur qayamat ki badi badi nishaniyon ka
lagatar zaahir hona jaise ki woh motiyon ki tooti huwi ladi hai jisse lagatar
moti gir rahe hai."
# Tirmizi Shareef.
0 comments:
Post a Comment