بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Yakeenan har woh nayi cheez jo na sunnat ke khilaaf ho na hi sunnat ko mitaane wali ho aur shari'at ne us cheez ya kaam se roka na ho biddat e hasanah hai aur mubaah hai yani acchi biddat aur jaiz hai.
Hadees e pak ka mafoom hai jisne bhi musalmaano mein koi accha tarika shuru kiya aur baad mein uss tarike par amal kiya gaya to uss tarike par amal karne waalon ka ajar bhi shuru karne wale ko milega aur amal karne waalon ke ajar me kami na hogi.
Ho sakta hai kisi ke zehan mein yeh sawal aaye ke hadees shareef mein hai ke ke har biddat gumrahi hai aur gumrahi jahannam mein le jaanewali hai.
(miskat sarif)
To isse murad biddat e sahiyah hai yani buri biddat hai. Aur wo biddat jo sunnat ko mitane wali ho ya sunnat k khilaf ho woh yakeenan buri biddat hai.
Shakikh abdul haq muhaddis dehlwi alayhir rahman farmate hai jo biddat usool aur qawaaede sunnat ke muwafiq aur uske mutabik qiyaas ki huwi hai (yani sunnat o shari'at se nahi takraati) usko biddat e hashnah kehte hai aur jo is k khilaf ho wo biddat gumrahi kehlati hai.
(ashiatul lamaat)
abh jo log isse biddat kehte hai wo bataye ke azaan se pehle durood shareef padhne se kaunsi sunnat takrati hai ya sunnat ko mitati hai lihaza azaan se pehle durood shareef padh sakte hai..

0 comments:
Post a Comment