Wednesday, March 25, 2015

Azaan ke Maseel 142

SHARE
 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Kya azaan se pehle durood shareef padh sakte hai.?

⏩Aitraaz.
Nabi e kareem ﷺ ki zahiri hayaat mein aur Khulfa e raashideen ke daur mein jab azaan se pehle durood shareef nahi padha jata tha. Isliye abh aisa karna buri biddat aur gunah hai.

⏩Aitraaz ka jawaab.
Agar isi nazriye ko maan liya jaye ke jo kaam uss daur mein nahi hota tha woh abh iss daur mein buri biddat aur gunah hai. Toh is daur ka pura nizam hi bigad jaaega.

Aise kaam jo uss daur mein nahi the aur abh iss daur mein sabhi logon ne apnaye huwe hai.

misaal ke taur par.

Quran e pak par nuqte aur zer zabar pesh hajjaaj bin yysuf ne 95 Hijri mein lagwaye.

Quran e pak ki printing ki system

Masjidon ke beech mein imam k khade rehne ke liye mehraab na thi. Baad mein yeh amal mein aaya.

6 Kalme jo aaj madarse mein padaye jaate hai. Nahi they.

Aeroplane se Hajj/umrah wa deegar mulkon ka safar karna.

Ye saare kaam uss mubarak daur mein nahi the lekin abh iss daur mein koi gunah nahi kehta. To sirf  Azaan se pehle durood shareef padhna hi bid'at hai.?


To be continued.....

0 comments:

Post a Comment