بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Badmazhabon Ke Baatil (Jhoote) Aqaid
Walid bin Mugira Ne Huzoor ﷺ Ki Shaan Mein Gustakhi Ki Yaani "MUJNUN" Kaha Jisse
Nabi e Pak ﷺ Ko Dukh Huwa To Allah Ta'ala ﷻ Ne
Chand Aayate Mubarak Naazil Farma Kar Huzoor ﷺ Ki
Tasalli Wa Tashafi Di Aur Aayat e Mazkura Baala Me Iss Gustakh Ke Nau(9) Aibon
Ko Bayan Farmaya Hai Aur Yeh Bhi Zaahir Kar Diya Ke Iski Asl Waladul HARAM Hai.
Jabh Ye Aayatein Naazil Huwi To Walid Bin
Mugira Ne Apni Maa Se Jakar Kaha Ke Mohammed ﷺ Ne
Mere Nau(9) Baatein Bayaan Ki Hai, Inn Mein Se Aath(8) Ko To Main Jaanta Hu
Lekin (9)Nauvi Baat, Yaani Meri Asl Me Khata Hona, Tujhi Ko Malum Hoga, Tu
Mujhe Sach Sach Bata De Warna Main Teri Gardan Mardunga.
Uski Maa Ne Jawab Diya Ke Haa Beta, Tera Baap
Na'Mard Tha. Mujhe Fikr Huwi Ke Woh Mar Jaaega To Uska Maal Dusre Log Le
Jaaenge, To Maine Ek Charwaaahe Ko Bula Liya Aur Badkari Ki, Aur Tu Ussi Ke
Nutfe Se Paida Huwa Hai.
Iss Tafsir Se Malum Huwa Ke Huzoor ﷺ Ki Shaan e Aqdas Mein Gustakhi Karne Wale Ke Aaibon Ko Khullam
Khulla Bayan Karna Sunnate Ilahiya Hai, Allah Ta'ala ﷻ Ki
Sunnat Hai Aur Yeh Bhi Pata Chala Ke Huzoor ﷺ Ki
Shaan e Aqdas Mein Gustakhi Karne Wala HALAAL Ki AULAAD Se Nahi Hota. Qur'an e
Majid me hai: "WALADUZZENA" Yaani HARAM ki AULAAD Hota Hai.
# Qur'an Shareef, Paara No.29.
# Tafsir E Saawi Jild-4, Safa-198
0 comments:
Post a Comment