Friday, March 13, 2015

Book TAMHEED E IMAAN 33

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ



Baaz ilm:
Qul ilm to qatan aap saahibon ko bhi nahin aur baaz mein aap ki kya takhsees?
Aisa ilm to ullu, gadhe, kutte, suwwar sab ko haasil hai to chaahiye ke in sab ko aalim o faazil o chunee wa chunaa kaha jaye. Phir agar aap is ka iltezaam karein ke haan hum sab ko ulema kahenge to phir ilm ko aap ke kamaalaat mein kyun shumaar kiya jata hai. Jis amr mein momin balke insaan ki bhi khusoosiyat na ho, gadhe, kutte, suwwar sab ko haasil ho. Woh aap ke kamaalaat se kyun hua? Aur agar iltezaam na kiya jaye to aap hi ke bayaan se aap mein aur gadhe, kutte, suwwar mein wajah-e-farq bayaan karna zaroor hai. Faqat
Musalmaanon! Yoon daryaaft karte hi bi-aunihi ta’ala saaf khul jaayega ke un ‘gustaakhon’ ne MUHAMMAD RASOOLALLAH ﷺ ko kaisi sareeh shadeed gaali di aur UN (Huzoor) ke RAB azz wa Jall Qur’an Majeed ko ja baja kaisa rad wa baatil kar diya. Musalmaanon! Khaas is badgoh aur is ke saathiyon se poocho, in par khud unke iqraar se Qur’an-e-Azeem ki yeh aayaat chaspaan huwi ya nahi:Tumhara RAB azz wa Jall Farmaata hai:"Aur beshak zaroor Hum ne Jahannam ke liye phaila rakhe hain, bahot se jin aur aadmi un ke wo dil hain jin se Haq ko nahi samajhte aur woh aankhein jin se Haq ka raasta nahi soojhte aur woh kaan jin se haq baat nahi sunte, woh chaupaaiyon ki tarah hain balke unse bhi badh kar behke huwe wohi log gaflat mein pade hain.”

To Be Contd....

0 comments:

Post a Comment