بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
YEH AAYAT IN GUSTAAKH E RASOOL PAR CHASPAAN.
Aur Farmaata hai:
“Bhala dekh to jisne apni khwaahish ko apna Khuda bana liya to kya tu uska zimma lega ya tujhe gumaan hai ke un mein bahot se kuch sunte ya aql rakhte hain woh to nahi magar jaise chaupaaye, balke woh to unse bhi badh kar gumraah hain”.
( para 19, surah Furqaan, ruku 2)
ILM WAALE KE LIYE NUKTA:
In bad-goyon ne chaupaayon ka ilm to Ambiya alaihimus salaatu was-salaam ke ilm ke baraabar maana.
Ab in se poochiye kya tumhara ilm Ambiya ya khud HUZOOR Saiyyadul Ambiya alaihi wa alaihimus salaatu was-sanaa ke baraabar hai? zaahiran iska daawa na karenge aur agar keh bhi dein ke jab chaupaayon se baraabri kardi, Aap to do paaye hain baraabari Maante kya mushkil hai, to yoon poochiye tumhare ustaadon, peeron, mullanon mein koi bhi aisa guzra jo tum se ilm mein zyada ho ya sab ek baraabar ho? Aakhir kahin to farq nikaalenge to unke woh ustaad wagaira to unke iqraar se ilm mein chaupaayon ke baraabar huwe aur yeh unse ilm mein kam hain, jab hi to unki shaagirdi ki aur jo ek masaavi (baraabar) se kam ho doosre se bhi zaroor kam hoga to yeh hazraat khud apni taqreer ki roo se chaupaayon se badh kar gumraah huwe aur in aayaton ke misdaaq thehre. ( yaani yeh aayat un par fit baithti hai):
"Aise hi azaab aur aakhirat ka azaab badaa hai agar log jaante."
(paara 29, ruku 3)
To Be Contd....
0 comments:
Post a Comment