بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
RADD E IMKAAN E KIZB E BAARI TA'ALA:
Musalmaanon! Yeh haalatein to un kalmaat ki theein jin mein Ambiya-e-kiraam wa HUZOOR Pur-noor Sayyadul Anaam ﷺ par haath saaf kiye gaye, phir un ibaaraat ka kya poochhna jin mein asalatan bil-qasad ( iraada karte hue yaani jaan boojh kar ) RABBUL IZZAT azz jalaalahu ki izzat par hamla kiya gaya ho.
Khudaara Insaaf!
Kya jisne kaha ke
“Maine kab kaha hai ke main waqu-e-kizb-e-baari ka qaayel nahi hoon?” Yaani woh shakhs iska qaayel hai ke KHUDA bil-fail jhoota hai, jhoot bola, jhoot bolta hai.
Iski nisbat yeh fatwa denewala ke “agarche usne taaweel-e-aayaat mein khata ki magar taaham isko kaafir ya bid’ati zaal ( gumraah ) kehna nahi chaahiye.”
Jisne kaha ke usko koi sakht kalma nahi kehna chaahiye, jisne kaha ke is mein takfeer Ulema-e-salf ( buzurg) ki laazim aati hai. Hanafi Shaafa’ee par taan o tazleel nahi kar sakta, yaani KHUDA ko MA'AZALLAH jhoota kehna bohat se Ulema-e-salf ka bhi mazhab tha.
Yeh ikhtelaaf Hanafi Shafa'ee ka sa hai. Kisi ne haath naaf se upar baandhe, kisi ne neeche.”
Aisa hi ise bhi samjho ke kisi ne KHUDA ko sachcha kaha, kisi ne jhoota, lihaaza aise ko tazleel o tafseeq (gumraah wa faasiq qaraar dena) se maamoon karna chaahiye, yaani jo KHUDA ko jhoota kahe usey gumraah kya, Ma’nan gunehgaar bhi na kaho. Kya jisne yeh sab to us mukazzib e Khuda ( khuda ko jhoota bataanewala) ki nisbat bataya aur yahin khud apni taraf se ba-wasf is be-ma’na iqraar ki ke qudrat alal-kizb ma’a imtena’ al-waqoe mas’ala-e-ittefaqiya hai. Saaf sareeh keh diya ke “waqoo e kizb ke ma’na durust hogaye.” Yaani yeh baat theek ho gayi ke KHUDA se kizb ( jhoot) waaqe huwa. Kya yeh shakhs Musalmaan reh sakta hai?
Kya jo aise ko Musalmaan samjhe khud Musalmaan ho sakta hai? Musalmaanon! Khudaara insaaf, Imaan naam kaahe ka tha?
Tasdeeq-e-Ilaahi ka, tasdeeq ka sareeh mukhaalif kya hai?
Takzeeb ( jhoot) , Takzeeb ke kya ma’na hain? Kisi ki taraf kizb (jhoot) mansoob karna Jab sarahatan KHUDA ko kaazib (jhoota) keh kar bhi Imaan baaqi rahe to KHUDA jaane Imaan kis jaanwar ka naam hai?
KHUDA jaane Majoos wa Hunood wa Nasaara wa Yahood kyun kaafir huwe? Unme to koi saaf saaf apne ma’bood ko jhoota bhi nahi bataata.
Haan ma’abood-e-barhaq ki baaton ko yoon nahi Maante ke unhein uski baatein hi nahi jaante ya tasleem nahi karte, aisa to duniya ke parde par koi kaafir sa kaafir bhi shayad na nikle ke KHUDA ko KHUDA maanta, uske kalaam ko uska kalaam jaanta aur phir be-dhadak kehta ho ke usne jhoot kaha, is se waqoo-e-kizb ke ma’na durust hogaye.
Garz koi zi-insaaf (insaaf karnewala) shak nahi kar sakta ke un tamaam bad goyon (gustaakhon) ne moonh bhar kar ALLAH wa RASOOL ko gaaliyan di hain. Ab yehi waqt imtihaan-e-Ilaahi hai, Waahid-e-Qahhaar Jabbaar azz jala-lahu se daro aur woh aayatein ke upar guzrein, pesh-e-nazar rakh kar amal karo. Aap tumhara Imaan, tumhaare dilon mein tamaam gustaakhon se nafrat bhar dega. Hargiz ALLAH wa RASOOLALLAH jall-wa-alaa wa sallallahu alaihi wasallam ke muqaabil unki himaayat na karne dega, tumko unse ghin aayegi na ke unki pach karo, ALLAH wa RASOOL ke muqaabil unki gaaliyon mein mohmal ( bekaar) wa be-huda taaweelein
( jhoota bahaana) gadho.
Lillaah insaaf!
To Be Contd....
0 comments:
Post a Comment