بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
MAA BAAP KI MOHABBAT SE HUZOOR KI MOHABBAT KA MUQAABLA:
LILLAAH INSAAF !
Agar koi shakhs tumhare Maa, Baap, Ustaad, Peer ko gaaliyaan de aur na sirf zabaani balke likh likh kar chhaape, shaaye kare. Kya tum uska saath doge? Ya uski baat banaane ko taaweelein gadhoge?
Ya uske bakne se be-parwaahi karke us se ba-dastoor saaf rahoge?
Nahi Nahi! Agar tum mein insaani gairat, insaani hamiyat, ( josh) Maa Baap ki izzat, hurmat, azmat, muhabbat ka naam o nishaan bhi laga reh gaya hai to us gustaakh galyar ( gaali denewaala) ki soorat se nafrat karoge, uske saaye se door bhaagoge, uska naam sunkar gaiz ( gussa) laoge aur jo uske liye banaawatein gadhe, uske bhi dushman ho jaoge. Phir KHUDA ke liye Maa Baap ko ek palle mein rakho aur ALLAH Waahid e qahhaar wa MUHAMMAD RASOOLALLAH ﷺ ki izzat o azmat par Imaan ko doosre palle mein, agar Musalmaan ho to Maa Baap ki izzat ko ALLAH wa RASOOL ki izzat se kuch nisbat na Maanoge, Maa Baap ki mohabbat wa himaayat ko ALLAH wa RASOOL ki mohabbat wa khidmat ke aage na-cheez jaanoge to waajib waajib waajib, laakh laakh waajib se badh kar waajib ke unke badgoh se woh nafrat wa doori wa gaiz wa judaayi ho ke Maa Baap ke dushnaam dahinda (gaali denewaala) ke saath us ka hazaarwaan hissa na ho.
Yeh hain woh log jin ke liye un saat ne’maton ki bashaarat hai. Musalmaanon! tumhara yeh zaleel khair khwaah ummeed karta hai ke ALLAH Waahid e Qahhaar ki un aayaat aur us bayaan shaafi waazeh-ul-bayyanaat (yaani saaf saaf daleelon) ke baad is baare mein aap se zyada arz ki haajat na ho. Tumhare Imaan khud hi un bad-goyon (gustaakhon) se wohi paak Mubaarak alfaaz bol uthenge, jo tumhaare RAB azz-wa-jall ne Qur’an-e-Azeem mein tumhaare sikhaane ko Qaum-e-Ibraahim alaihis salaato wat-tasleem se naql farmaye.
To Be Contd...
0 comments:
Post a Comment